Hont SMS Messages161 messages

uske Honton ko dekha tu meray dil me khayal aya.

wo lafz kitnay nashelay hongay jo inhay chho kar guzarty hongay.
main khuda se shakyaat bhi kase karta teri..

teri ruswai ne mare Honth see daye thy
Tum Khafa Kyun Ho?

Tumhei''n Mujh Se Gila Kia Hy ?

Achanak Be-rukhi Itni ?

Batao Tou Hua Kia Hy ?

Manao''n Kis Terha Tum Ko

Mujhy Itna Tu Batla Do

Agar Ab ho Sakey Tum Se

Tou Ye Ehsaan Ker Do

Meri Manzil Mohabbat Hy

Mujhy Manzil Pe Pohancha Do

Tumhari Aankh Mein Aansu

Mujhy Ache Nahi Lagte

Tumhary Narm Honto''n Pe

Gilay Ache Nahi Lagte

Tumhary Muskurane Se

Mera Dil Muskurata Hy

Tumharey Rooth Janey Se

Mera Dil Tuut Jata Hy
Kon kehta hai k pani ko tarastay thay "HUSSAIN"

UN KAY HontON ko tarasta raha pyaasa pani...
Khwab bn k koi aye ga to neend aye gi

ab wohi ah k sulaye ga to neend aye gi

dil ki wo bat jo ankhu se beyan hoti hai

koi Honto se sunaye ga to neend aye gi.
Lakin Badi Dair Ho Chuki Thiieeee

Ek umer ke baad uss ko dekha

Aankhoon mein sawaal thay hazarooon

Hontoon pe magar wohi tabbassum

Chehrey pe likhi hui udaasi

Awaaz mein gunjti judaiiiii

Main kaise shajar se katee rah tha

Woh ponch raha tha aansoon merey

Lakin bohot dairy ho chukii theeeee...!!
ye larki to phool se mukhtalif hay
aadhi mohabbat mere saamne
or aadhi mohabbat muj se chop kar karti hay
aadhi raat ko aadhe chaand se
baten karti rehti hay
wo baten jo mujh se karte
uske Hont or uski saansen ruk jati hain
uski palken jhuk jati hain
aadhi raat ko takiye ke neche
rakhi meri tasveer ko dekhti rehti hay
phir khud se sharma kar
takiye me mu chuppa kar deer tak hansti rehti hay
kahi chand rahoon mai kho gaya,kehi chandni batak gai,
mai chirag vo b buja hua , meri rat kaisy chamak gai,
meri dastan ka arooj tha ,teri nam palkon ki chayon mai,
mery sath tha tujy jagna , teri ankh kesy chapak gai,
bala hum mily b to kya mily, wohi doorian wohi fasily,
na kabi hamary kadam bhary, na kabi tumhari jijak gai,
tery hath sy mery Hont tak wohi intezar ki piyas hai,
mery nam ki jo sharab thi kahi rasty ma chalak gai,
tujy bhool jany ki koshishain kabi kamyab na ho sakin,
teri yad shah-e-gulab hai , jo hawa chali to lachak gai
Baatein kartay Hont achaanak ruk jaatay aur,
Aankhain uss k peechay peechay chal parti theen,
Dhyaan ka rastaa kho jaata tha.
Mehfil mein jis simt Woh jaati,
Kamaray ka woh hissa yak-dam roshan ho jaata tha.
Jaadugar theen aankhain Uss ki,
Palkain theen ek Raaz!!
Rooh mein jhilmil ker daiti thi,
Aisi thi Awaaz!!!
main main na rahoon tum tum na raho
ek duje mein khoo jain ek jaan ho jain
chalo aao aaj ki sham ko kuch es tara sajain
ke seher tak donon madhoosh ho jain
lepat ke ek duje ki bahoon se raat bhar
barsoon ki tashnagi seher tak mitaain
dori rahe na darmiyan etne qareeb aao
tum hum mein sama jao hum tum mein sama jain
es haseen sham ko aaj yun na dhalne deain
sulagne deain saansoun ko jismon ko phigalain
bujhane se bhi nhi bujhti yeh piyaas muhabbat ki
ab tarse howe Hontoon ko Hontoon se milne deain
barsoon ki tashnagi ko kese bujhain MAHEK
chalo aao phir se ek haseen sham sajain

MAHEK
un Honto ko tum choom kr to dekho FARAZ

maza na aaey to paisay wapis.
Na jane wo hum se kya chupati thi

Kuch tha us k Honto pe magar sharmati thi

Jab hum ne mu khulwaya uska zabar dasti

To pata chla kmbakht naswar khati thi:-)