Hira SMS Messages102 messages

Apni Roshni Ki bulandiyo''n Per Kabhi na Itrana

CHiraag Sab k Bujhte Hain Hawa Kisi Ki Nahi ...
Kanton Se Guzer Jana Sholon SE Nikal Jana
Phulon Ki basti Mein Jana To sambhal Jana
Din Apni CHiraagon Ki Maanind Guzarte Hain
Har Shab Ko Bujh Jana Her Shaam Ko Jal jana
Bachon Hi si Fitrat Hai Ham Ahl-E-Mohabbat Ki
Zid Kerna Machal jana Phir Khud Hee Sambhal jana
Woh Shaks Bhala Mera Kia Saath Nibhaye Ga
Mosem Ki Tarah Jis ne Seekha Hai Badal Jana
Apna gum leke kahi aur na jaya jaye,

Ghar me bikhri chizo ko ghar me he sajaya jaye.

Jin cHirago ko hawao ka khauf nhi,

Uun cHirago ko hawao se bachaya jaye
Garm-e-Hasrat Nakaam se Jal Jatay Hain,
Hum CHiragho ki tarah Shaam se Jal Jatay Hain,
Shama Jis Aag me Jalti hai Nimiash k liye,
Hum usi Aag me Gum-Naam se Jal Jatay Hain........
Mujhe kinary ki kab tamana,
Tujhay hai darya k par jana, Biphartay darya ki surkh maujen bata rahi hen, KHiraj mangay ga tujh say darya
Jo meri mano to aisa kar lo,
mujhay sharik-safar bana lo,
KHiraj mangay jo tujh se darya
Mujhay bhanwar mein utaar jana.
Tera zaroori hai par jana................
cHirag laikar mein dhundata hun wafa kahan hai wafa kahan hai,
Bata dey mujh ko jahan k Malik hai nirkh kitna dukan kahan hai,
mein aisey rehbar k payoon choomoon jo yeh bataye wafa kahan hai,
hai saari duniya hee chakar-e-banwar mein ya sirf mera hee imtihan hai?
Wo to khushbu hai hawaon may bikhar jayega
Masala phul ka hai phul kidhar jayega

Ham to samajhe the ke ek zakhm hai bhar jayega
Kya khabar thi ke rag e jan may utar jayega

Wo hawaon ki tarah khanabajan pHirata hai
Ek jhonka hai jo ayega guzar jayega

Wo jab ayega to phir us ki rafaqat ke liye
Mausam e gul mere angan may thahar jayega

AkHirash wo bhi kahin ret pe baithi hogi
Tera ye pyar bhi dariya hai utar jayega
Nafrat Si Ho Giye Hai Ab To Mujhko Tere Naam Se

Nafrat Si Ho Giye Hai Ab To Mujhko Subha-O-Sham Se

Nahi Acha Lagta Mujhko Koi Tera Naam Lene Wala

Nahi Acha Lagta Mujhko Koi Wafa Ka Piyaam Dene Wala

Pyar Mein Kabhi Bhi Na Doobna Tum Itna Mere Dost

Pyar Mein Kabhi Bhi Had Se Na Guzerna Tum Mere Dost

Dua Hai Meri "Kaash" Ab Zindagi ka CHirag Ab Gull Ho

Dua Hai Meri Lakin Koi Tujhsa Bewafa Hargiz Na Ho
Wisaal O Hijar Me
CHiragon Se Saji Shaamo Me
Ya Be Noor Raato Me
Sehar Ho Roonuma Jesay Kahin Baaton Hi Baton Me
Koi Lipta Ho Jis Trah
Sandl Ki Khushbu Me
Kahin Pr Titliyon K Rung Tasweerain Banatay Hon
Kahin Pr Jugnuon Ki Muthiyon Me Roshni Khud Ko Chupati Ho
kahin Kesa Hi Manzar Ho
Kahin Kesa Hi Mosam Ho
Tere Saray Hawalo Ko
Teri Sari Misalon Ko

Mohabbat Yaad Rakhti Hai.......
Meri Zindagi k Mizaj ka

yeh cHiragh kuch naya nahi

kabhi roshni, kabhi teerghi

kabhi jala hwa, kabhi bujha huwa


Mri Zindagi bhi meri nahi

ye hazaaar khano ma bat gae

mujay ik mut-the zamein day

yeh zamein bhi kitni simat gae


yeh jo aag ki bail thee

mray tan badan say lipat gae

mujay siskion nay jaga dia

mri kache neend uchat gaee


JAHAN MERA LIKHA GIA

WAHIN ROSHNAI ULAT GAE
Tanha udaas shamo main
ab kiyun pHira karoon main
mujhe bhool janay walay
tujhe yaad kia karoon main..
PHira Hun Sare Zamane main dar-b-dar Kaisa,
Main tere baad bhi zinda Raha magar kaisa.

Wo janta Tha ke kuch Roz wo nahin tha to main,
Pukarta Raha usko aedhar odhar kaisa.

Main jiske Hijr main Roya hun pagalon ki tarah,
Wo kal mila to hasna mere hall par kaisa.

Aziz tarr thi jise nend sham vasl main bhi,
Wo tere hijr main jaga umir bhar kaisa


Buss aik Shaks ki khatir buss aik dil ke lye,
Waatan ko chor dia diwangy main gher kaisa.

Kahan ki dosti''
Kaisa firaq
Kuon faraz??

Main khud ko bhol gaya hun tujhe bhol Kar kaisa...!