HONTO SMS Messages119 messages

Usay Itna Bata Dena
Me Us Se Duur Ho Ker B
Bht Majboor Ho Ker B
Dukho''n Se Chuur Ho Ker B
Usi Ko Yaad Kerta Hon
Usay Itna Bata Dena
Me Dukh Apne Chupa Ker B
Khushi K Geet Ga Ker B
Hansi HONTOn Pr Saja Ker B
Usi Ko Yaad Kerta Hon
Usay Itna Bata Dena
Jahan K Ghamo''n Main Kho Ker B
Me Dil K Daagh Dho Ker B
Kisi K Paa Ho Ker B
Sirf Aur Sirf !!!
Ui Ko Yaad Kerta Hon
Aarzo hai wafa ban k taray sath raho
dharkano ki sada ban k taray sath raho
maray HONTO say JISAY mout bhi na cheen sakay
wo zindagi ki dua ban kay taray sath raho
Anmol Ankhon Mein Jo Tahreerain thi

HONTOn Pe Wo Bol Na Thay

Hum Thay Uss K Payar K Aashiq

Bas Hathon Mein Kashkol Na Thay

Hum Ne Usko Toot K Chaha

Ye Uss Ka Haq Tha

Lakin

Wo B Hum Ko Toot K Chahe

Hum Itne Anmol Na Thay...!
jab kabhi
koi yaad
achaanak ankhein chabho jae
to meri hatheliyon ke lams ki baaz gasht
HONTOn se lagaana
use saanson se garm karna
or palkon ko band kar ke
ankhon se choom lena
Youn To Baat Kuch B Na Thi Muger Uss Ka 1 Dam.

HONTO''n Pe Hath Rakh Kar Rokna Acha Laga......(
Un Ki Chahat Ko Apni Mohobbat Bana Ke Dekh

Un Ki Hansi Ko Apne HONTOn Se Muskura Kar Dekh

Un Ke Ashkon Ko Apni Aankhon Se Gira Kar Dekh

Un Ki Bechainiyon Ko Apne Dil Main Basa Kar Dekh

Ye Mohobbat Ik Haseen Tohfa Hai

Kabhi Mohobbat Ko Is Tarah Bhi Nibha Kar Dekh
Ye Tabbasum,
Ye Taazgi,
Ye Nikhar,
Zindagi Ki Se
Baat Ker k Chali
Aai Hy !!

Un k HONTO''n Pe
Tabbasum Ka
Ye Halka Sa
Khumaar
Jese Gulshan Mein
Dabe Paao''n Bahar
Chali Aai Hy
wo jis ka naam tha sanson mein
aur HONTOn par....
wo por por mein kuch iss tarha otarta gaya
har ek gosha dil khud bakhud mehakta gaya
hina se naam hathelee pe bhi likha os ka
wo aik shaks mujhe aaj iss tarha se mila
ke os ke chehre pe dekhi hain ajnabi ankhen
uske HONTOn ko dekha tu meray dil me khayal aya.

wo lafz kitnay nashelay hongay jo inhay chho kar guzarty hongay.
Tum Khafa Kyun Ho?

Tumhei''n Mujh Se Gila Kia Hy ?

Achanak Be-rukhi Itni ?

Batao Tou Hua Kia Hy ?

Manao''n Kis Terha Tum Ko

Mujhy Itna Tu Batla Do

Agar Ab ho Sakey Tum Se

Tou Ye Ehsaan Ker Do

Meri Manzil Mohabbat Hy

Mujhy Manzil Pe Pohancha Do

Tumhari Aankh Mein Aansu

Mujhy Ache Nahi Lagte

Tumhary Narm HONTO''n Pe

Gilay Ache Nahi Lagte

Tumhary Muskurane Se

Mera Dil Muskurata Hy

Tumharey Rooth Janey Se

Mera Dil Tuut Jata Hy
Kon kehta hai k pani ko tarastay thay "HUSSAIN"

UN KAY HONTON ko tarasta raha pyaasa pani...
Khwab bn k koi aye ga to neend aye gi

ab wohi ah k sulaye ga to neend aye gi

dil ki wo bat jo ankhu se beyan hoti hai

koi HONTO se sunaye ga to neend aye gi.