Anmol Ankhon Mein Jo Tahreerain thi

Anmol Ankhon Mein Jo Tahreerain thi
Anmol Ankhon Mein Jo Tahreerain thi

Honton Pe Wo Bol Na Thay

Hum Thay Uss K Payar K Aashiq

Bas Hathon Mein Kashkol Na Thay

Hum Ne Usko Toot K Chaha

Ye Uss Ka Haq Tha

Lakin

Wo B Hum Ko Toot K Chahe

Hum Itne Anmol Na Thay...!
  

Jun, 01 2010     248 chars (2 sms)     4167 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Apni Zindagi se Kuch pal De Do Mujhy
Aj na sahe apna Kal de Do Mujhy,

Khushi do ya Na do Marzi Tumhari
Apni Kisi Saheeli ka Number De Do Mujhy !
Kya Kahen Hum Kaise Tujhse Door Ho Gaye
Haalaat Se, Kuch Khud Se Majboor Ho Gaye
Mohhabbat Rula Deti Hai, Kab Ye Maana Tha
Apne Dil Ke Afsaane Wohi Dastoor Ho Gaye
Manzil Jise Samjha Bana Wo Meel Ka Pathar
Nayi Manzil, Naye Raaste Manzoor Ho Gaye
Hadd Se Barh Jaaye Jo Ghum, Deta Nahin Dard
Muskura Rahe Hain, Aise Hum Ranjoor Ho Gaye
Dil Tera Reza Reza Hai, Kaise Sambhale Tujhko
Khudaya Humse Kaise Yeh Qusoor Ho Gaye !!!
teri surat se nhi malti kesi ki surat,

teri tasvir ko hum hathu me ley pharte hai.
Maine kab chaha k wo zindagi mere nam ker de....

bus mujhey chaha itna sa kaam ker de...

her rooz kuch lamhe mujhey soocha kare...

kub kaha k meri yad me subh-o-shaam ker de...
Bik Raha Tha Waqt k Bazaar
Mein Meri Ghairat Ka Lahuu

Mudd k Jo Dekha Tou Apna
Hii Dost Kharidaar Nikla ...
Kuch is tarah se torey han milny k silsily.

Sub naqsh apni yad k mita k chala gya.

Ma dhundta raha jisy milny k wasty

Wo shakhs mery shehr ma aa kr chala gya
Aaj Barsoon K Bad Dekhaa Hai
Ab Bhi Aankhon Ka Rang Gehra Hai
Aur Chehre Ki Sanwali Si Lakeer
Dil Main Kitne Diye Jalaati Hai
Teri Qaamat K Saye Ki Khushboo
Guftugoo Main Bahaar Kaa Mosum
Be Sabab Aitbar Ka Mousum
Kion Mujhe Sare Dhang Yad Rahe
Kitni Heraan Ho Gai Khud Per
Main Tujhe Aaaj Tuk Nahin Bhooli
Pichle Mosum Ki Yaad Baqi Hai
jub dekho mjhe to apni nigahen tham k dekhna.

kahain meri dard bhari nigahon se tumhain mohabat na ho jaye.
Wo chahti hai mohabbat ki bheek maangun
Us ko maalum shayed meri khud-daari ki intiha nahin

Agar aazmanay par he raazi hai meri anna to dekhna
Mujh say barh k phir zamaanay mein koyi be-wafa nahin..
zindgi kaash tu hi rooth jati muj sy...!!!

yeh roothy huwy log muj se manaye nahi jaty..
Be-zabano ko jub wo zaban deta hay,
Parhne ko phir wo QURAN deta hay,

Bakshne pay aata hay jub ummat k gunahon ko,
Tohfay mein gunahgaron ko RAMAZAN deta hai
Aashiyaan Banane ka Apko mauka to milA

hum ny Jb B dewaar Uthayi,toofanoo ka Tohfa he miLa