Dost SMS Messages1114 messages

Rishto me pyaar ki mithas rahe,

kabhi naa mitne wala ehsaas rahe,

kehne ko to choti see hai ye zindgi,

lambi ho jayegi,

agar aap jaise pyare Dost ka sath rahe.
Mohabbat Ko Majburi Ka Naam Mat Dena
HaKiqat Ko Hadso Ka Naam Mat Dena
Agar Dil Me Ho PYAR Kisi K Liye To,
Use Kabhi DostI Ka Naam Mat Dena.
Daldal Thi Zindagi So Dhansta Chala Gaya,

Main Apni Bebasi Pe Yun Hansta Chala Gaya,

Pehle Dikha Raha Tha Mujhe Manzilon K Khwaab,

Phir Mere Samnay Se Woh Rasta Badal Gaya,

Main Ro Para Tha Jis Ki Judai Ko Soch Kar,

Woh Shaks Mere Haal Pe Hansta Chala Gaya,

Main Khud Lipat Gaya Tha Jisay Dost Jaan Kar,,

Woh Saanp Ki Tarha Mujhay Dasta Chala Gaya,!
Sath Chalny ko Chalay Thy Dost Dushman sb ''faraz''

meri manzil Tak ka Saathi Sirf mera Saya Nikla.
Tark-e-Rasm-e-Dosti
Hargiz Mera Maslak Na
Tha ...

Ittifaqan Dosto''n Se
Raabtey Kam Ho
Gaye... !!!

Raah Mushkil Hy Magar
Dil Ko Amada Tou Kro

Saath Chalne Ka Mere
Tum Irada Tou Kro

Dil Behalta HyMera
Dost Tere Waado''n Sy

Wada Wafa Na Kro Per
Wada Tou Kro

Rukh-e-Shabab Sy
Aanchal Jo Sarakta Dekha

Chaand Aakhash k
Jhurmat Sy Nikalty Dekha

Mujh Ko Mehsoos Hua
Dard-e-Judai Kia Hy

Main Ny Ek Phool Ko
Tehni Sy Bikharty Dekha

Zindagi Kia Hy Mere
Dost Tu Mujh Sy Pooch

MainNy Gulshan Ko
Baharo''n main Ujarty Dekha
Baat Din Ki Nahi Mujhe Raat Se Darr Lagta Hai

Gher Kacha Hai Mera Mujhe Barsat Se Darr Lagta Hai

Tere Tohfay Ne Diye Mujhe Khoun K Aansu

Zindagi Ab Teri Her Sogaat Se Darr Lagta Hai

Chooro Pyar Ki Baatain Koi Or Baat Karo

Ab To Pyar Ki Her Baat Se Darr Lagta Hai

Meri Khattir Tu Kahin Badnaam Na Ho Jaye

Is Liye Teri Her Mulaqat Se Darr Lagta Hai

Apno Mai Reh Kar Kuch Aise Zakham Khaye

Humein Ay Dost Apni Zaat Se Darr Lagta Hai...
Wo bar bar mujhy azmata raha
Misl_e_shama wo jalata raha,

Dost bhi kaha usne mujhy mgr''
Dushmano ki tarhan tarpata raha,

Ungali pakar kr aaksar aandhere raston mai,
Wo bar bar mujh ko girata raha,

Aisa bhi bhala kya Dosti "SAGAR"
Mein rota raha wo muskarata raha.....!
kub kaha tha nazaron se khuof ata hai.
hume tu chand sitaron se khuof ata hai.
mile hain Doston se ghum itne ..
mare badan ko saharon se khuof ata hai.
Dosti Ka Daawa Kerny
Wale Hum Ny Dekhey
Hyn ...

Jinhai''n Hum Azeez
Tou Hyn Magar Apni
Masroofiat k Baad !!

Tujhy Geet Likho''n
k
Tujhy Meet Likho''n

Ya Janam Janam Ki
Preet Likho''n

Ter Milan k Lamhy
Khwaab Likho''n

Teri Dosti Ko
Gulaab Likho''n

Ya Tujh Bin Jeena
Azaab Likho''n ...