Dekho SMS Messages268 messages

sirf ek bar apne honton se mujhe apna keh do

mohsin

phir mehfil me raqeebon ka tamasha Dekho..
Tarap k Dekho kisi ki chahat mein

To pata chale k intezar kya hota hai

yun he mil jaye koi bina chahe

to kaise pata chale k PYAAR kya hota hai
Hijar ki aag main sulgo to bura lgta ha

Tm mre dedar ko tarso to bura lgta hy.

Ak tamana hy faqt muj pe mehrban rho

Tm kisi aur ko Dekho to bura lgta hy.

Meri roh tarasti hy teri kushbo ko

Tm kahin aur jo mehko to bura lgta hy.

Arzu hay k tere roop ko har pal Dekhon

Tm mere pas say utho to bura lgta ha
ISHQ wahi hai jo ho ektarfa,

IZHAR e ishq to khwahish ban jaati hai,

HAI agar ishq to aankho mein Dekho,

ZUBAN kholne se ye numaish ban jaati hai..
mein roi tu nahi hoon"
na jana kyon mera kaajal
jab bhi dalo ankh mein
ab aksar phale jata hai
mein roi tu nahi hoon......


tum tu janatay ho in dinoon
boht hi thand hoti hai
tab hi hai naak surkh mere
mein roi tu nahi hoon........


kaha tu hai youn hi bus
bheega hai anchal k kona
choro tum fikar mat keroo
mein roi tu nahi hoon.......


nahi,odass kab hoon mein?
ziada kaam k bays
thaka-wat ho hi jati hai
mein roi tu nahi hoon..........


eid aye hai , wo ab bhi
nahi ata tu na ay
ab is ki yadd mein Dekho
mein roi tu nahi hoon........


bata dena is ko ja ker
kahin khoosh-fahmi na koi palay
waisay hi surkh hain ankhain
mein roi tu nahi hoon..........
/-> AFSOS MAT KARO <-/

Woh apne ghar chala gaya afsos mat karo
Itna hi us ka saath tha afsos mat karo
Insaan apne aap main majboor hai bohat
Koi nahi hai bewafa afsos mat karo

Is baar tum ko aane main kuch dair ho gayi
Thak haar ke woh sogaya afsos mat karo
Duniya main aur Chahne wale bhi hain bohat
Jo hona tha so hogaya afsos mat karo

Is Zindagi ke mujh pe kayi qarz hain magar
Main jald laut aoongi afsos mat karo
Yeh Dekho phir se aagayin Phoolon pe titliyan
Ek roz woh bhi aayega afsos mat karo

Woh tum se aaj door hai kal paas ayega
Phir se ALLAH milayega afsos mat karo
Bekaar jee pe bojh liye phir rahe ho tum
Dil hai tumhara Phool sa afsos mat karo
-Reh na paoge kabhi bhulaker Dekho,

yaqin na aata ho to aazmakar Dekho..

Har jagah mehsoos hogi hamari kami,

apni suni mehfilon ko kitna b saja kar daikho.......
chaho koi kaisay bikharta hai
Chaman main ja kay khizaan main
Kabhii patton ko Dekho tum
Ya phir ik aainaa lay lo
Ussay patthar pay giraa do
Agar mushkil hai tum ko
To kissi khoobsurat phool ko le lena
Ussay hawa kay dosh pay rakhna
To phir tum jaan jao ge
Koi kaisay bikharta hai
Agar yeh bhi na kar sako
To mairay paas aajaana
Mera deedar kar lena
Khabarr yeh ho hee jayay gee
Koi kaisay bikhartaa hai..........
Aaina Hoon Main Mere Saamne Aakar Dekho
Khud Nazar Aogye Jo Aankh Mila Ker Dekho

Mere Gham Mai Mari Takdeer Nazar Aati Hai
Dugmagao ge, Mera Dard Utha Ker Dekho

Youn Tu Aasaan Nazar Aata Hai Manzil Ka Safar
Kitna Mushkil Hai Meri Rah Se Jaaker Dekho

Bazm Ka Meri Charagaan Hai Nazar Ka Dhoka
Kin Andheron Mai Bhatakta Hoon Main Aaker Dekho

Dil Tumhara Hai Main Ye Jaan Bhi Dedoon Tum Per
Bas Mera Saath Zara Dil Se Nibha Ker Dekho

Mout Barhaq Hai Mager Tum Se Waada Hai Mera
Laut Aounga Tum Ikbaar Bula Ker Dekho
dil ke daryaa mein utar ke Dekho
tum mohabbat mujh se kar ke Dekho

phir tumhein meri talab ho shaayad
tum kabhi mujh se bichaR ke Dekho

ishq ka saaghar bohat hai gehraa
Doob kar khud bhi ubhar ke Dekho

dunya phir lagne lagegi dilkash
isko tum meri nazar se Dekho

pyaar kehte hain kise,zaraa tum
meri baahon mein bikhar ke Dekho

mera gham mehsoos karna ho to
meri raahon se guzar ke Dekho

kya asar hota hai berukhii ka?
meri chaahat se mukar ke Dekho

jo mohabbat ne hai dekha,tum bhii
uski aankhon meiN sanwar ke Dekho
Bichad kar tujhse zinda hoon meri taqdeer to Dekho


Kabhi aakar mere haalat ki tasveer to Dekho


Deke pyaar ki Daulat kharide hai aanshu maine


Mili Jo ishq main humko zara jaagir to Dekho


Usne mujhe mehfil main dekha to kaha Rakeebo se


Mera Aashiq , mera pagal mera deewaana to Dekho.../
Nadaani mein hum kisse apna samajh beithe
jo dikhaaya uss bewafa ne sapna hum haqeeqat samajh beithe
Dekho aaj chod diya hamein usne ek gair ke liye
jisse hum apna humsafar samajh beithe