Dekha SMS Messages410 messages

WAFA is ko nahin kehte wafa kuch or ho ti hai. Muhabbat karne walon ki ada kuch or ho ti hai. Tumhein Dekha tumhein chaha tum hi se pyar kar bethe. Suno patthar k dil walon muhabbat aisi bhi hoti hai. Agar che gham ka maara hoon magar tum ko na bhoolonga. K deewano k honton per dua kuch or hoti hai. Tadap uthay gi yeh duniya agar royega dil mera. K Dil se jo nikalti hai sada kuch or hoti hai.
Iss Duniya Ki Bheer Mein Koi Tanha Nahi Ye Zaroori Tu Nahi... Hanstey Laboon Kay Peechay Koi Siski Na Ho Ye Zaroori Tu Nahi... Muskarati Aankhoon Kay Peechey Koi Aansoo Na Ho Ye Zaroori Tu Nahi... Ye Dil Under Say Tootey Or Chanak Bahar Bhi Sunai Day Ye Zaroori Tu Nahi... Hum Under Say Jal Jaeen Or Dhuaa Bahar Bhi Dekhai Day Ye Zaroori Tu Nahi... Duniya Aapne Diya Hue Zakhmoo Per Marham Bhi Rakhey Ye Zaroori Tu Nahi
zakham_e_tanhai mein khushboo_e_hina kiss ki thi
saya dewaar pe mera tha sada kiss ki thi

oss ki raftaar se lipti rahi meri ankhiein
oss ne mur kar be na Dekha ke wafa kiss ki thi

waqt ki tarah dabey paoon ye kon aya hai
mein andhera jisey samja wo qaba kiss ki thi

ansoo se hi sahi bhar gaya daman mera
haath toh mein ne uthaye the doua kiss ki thi

meri ahoon ki zuban koi samajta kesey
zindagi itni dukhi mere siwa kiss ki thi

agg se dosti oss ki thi jala ghar mera
di gayi kiss ko saza aur khata kiss ki thi

mein ne binaiyaan bo kar be andhere kaatey
kiss ke bus mein thi zameen abr_o_hawa kiss ki thi
Tum ko Maloom B Shayad Ye Kabi Ho K Na Ho


Meri Raatein. Teri Yaadon se saji rehti hain
Meri Saansein Teri Khushbo mai basi rehti hain

Meri Aankhon mai Tera Sapna saja rehta hai
Haan Mere Dil mi Tera hi Aks basa rehta hai

Is tarah Mere Dil ke boht Paas ho Tum
Jis tarah paas hi Sheh-e-Rag ke Khuda rehta hai

Tum ko Maloom bhi shayad ye kabhi ho k na ho..!!

Mere Aangan mai lage phool gawahi deinge
Mai ne Arsey se kisi Phool ko Dekha bhi nahi

Tujh ko socha hai to phir Tujh ko hi socha hai faqat
Tere siwa.. kisi aur ko socha bhi nahi

Tum ko Maloom bhi shayad ye kabhi ho k na ho..!!
Ek umer ke baad uss ko Dekha !
Aankhoon mein sawaal thay hazarooon
Hontoon pe magar wohi tabbassum !
Chehrey pe likhi hui udaasi
Awaaz mein gunjti judaiiiii
Baanhein theen magar wasaley samaa !
Ek muddat hui ek zamana hua
Khaak-e-gulshan mein jab aashiyana hua

zulf-e-barham ki jab se shanasai hui
zindagi ka chalan mujrimana hua

phool jalte rahe chaand hansta raha
aarzoo ka muqammal fasana hua

daag dil ke shahanshah ke sikke bane
dil ka muflis-kada jab Khazana hua

rah_bar ne palat kar na Dekha kabhi
rah-o-raste ka nishana hua

ham jahan bhi gaye zauq-e-sajda liye
har jagah aap ka aastana hua

dekh mizraab se Khoon tapakne laga
saaz ka taar marg-e-tarana hua

pehle hoti thi koi wafa-parvari
ab to "Sagar" ye qissa purana hua...........
mujh se vaqif to mere jism ka saya bhi na tha
kaise ho jata tumhara main Khud apna bhi na tha,
jitana mayus hai vo shaKhs bichar kar mujh se
itnii shiddat se to main ne use chaaha bhi na tha,
jaise ilzam lagaye hain mere sar us ne
aisi nazaron se to main ne use Dekhaa bhi na tha
merii aavaaz kaa Gham shahar ne jana kaise
main to us bhiid main Khamosh tha bola bhi na tha......!!!!
Kaha Usne Bharosa Dil Pe Itna Nahi Karte

Kaha Maine Mohabbat Main Kabhi Socha Nahi Krte

Kaha Usne Bohat Khush-Rung Dunia k Nazare Hain

Kaha Maine Jab Tum Ho Tou Hum Kuch Dekha Nahi Karte

Kaha Usne Main Tum Se Duur Hoon Lekin Tumhari Hoon

Kaha Maine k Sapne Dil Ko Behlaya Nahi Karte

Kaha Usne Tumhari Chahat Tumhain Ruswaiya''n Degi

Kaha Maine Shohrat Se Ghabraya Nahi Karte

Kaha Usne Samaj Jao, Samajh Jao Ae Maire Dost

Kaha Maine K Deewane Ko Samjhaya Nahi Karte
Kitne We Itmenaan Se Thukra Gaya Mujhe

Anso Bana k Ankh Se Tapka Gya Mujhe

Kaisi Rehbari Thi Yeh Kaisa Fareb Tha

Manzil Dekha K Raah se Bhatka Gya Mujhe

Khamosh Nighaon Se Kahani Suna Gaya

Lafzoon k Hair Phair Mai atka Gya Mujhe

Muj Ko Bhi Bachpany Ka ek Mazak Samjh Kar

Choti Se Ek hansi Mai He Ura Gya Mujhe

Do Din Mai Us k Dil Se mUhabat utar Gai

Aur Do hi Din Mai Yad se MIta Gya Mujhe
Suno...
Jab barish barsa kerte hai...
Aur her suu pani hota hai...
Hum aapne gher k aangan mien...
Amar byaal k saye mien...
boondoon ko Dekha kerte the...
Aur tum ko soocha kerte the...

Suno...
Jab raat siyaah ho jate hai...
Aur chandni phela kerte hai...
Hum neele aasman k saye talee...
Taroon ko Dekha kerte hien...
Aur tum ko soocha kerte hien...
Tanhai mere kaan me kuch kehne lagi he,

Ek zaat meri zaat me gum rehne lagi he,

Jisko Aankh ko kisi ne b rote nhi Dekha,

Wo Aakh teri yad me num rehny lagi hai.>
Ishq karnay kay bhi kuch aadab hotay hain
Khule ankhoun main bhi kuch khuab hotay hain
Har koi roo kay Dekhai yeh zarori to nahi
Khushk ankhoun main bhi selaab hotay hain...