Dard SMS Messages490 messages

Gali Main Dard K Purze Talaash Karti Thi
Maire Khatoot K Tukre Talaash Karti Thi

Bhulae Koon Azyat Pasandiyaan Us Ki
Khushi K Dhair Main Sadmey Talaash Karti Thi

Ajab Hijar Parasti Thi Uski Fitrat Main
Shajar K Toote Patey Talaash Karti Thi

Ghuma Phira K Judai Ki Baat Karti Thi
Hamaisha Hijar K Harbey Talaash Karti Thi

Duain Karti Thi Ujre Howe Mazaroon Par
Bare Ajeeb Sahaaray Talaash Karti Thi

Mujhe To Aaj Bataaya Hai Badloon Ne
Wo Laut Aane K Raaste Talaash Karti Thi
Mujay Kuch Tumsay Kehna Hai

Magar Tahro
Yeh Ik Lamha Jo Azal Say Hay
Kaye Sadioon Ki Bay Chani Simat Aye Hay
Iis Ki Dobthi , Sahmi Si Sansoon Main
Hazaroon Ratjagoon Ka Dard Hay
Is Kay Tasalsul Main
Yeh Ik Lamha
Yeh Meri Baykran Chahat Ki Gerdash Ka Hasee Lamha
Yeh Ik Lamha Guzer Jaye
Tu Shaed Ishaq Ki Manzil Nazer Aye
Meri Yeh Bay Nishan Chahat
Abad Ki Bay Kran Woset Ko Cho Aye
Yeh Ik Lamha
Jo Sang-E- Rah Hay Sadioon Ki Bay Payan Musafat Ka
Nishan Hay Un Ginat Rohoon Ki Un Daki Mohabbat Ka
Gubar-E- Wad-E- Seena Say
Wo Sab Karwan-E- Shoq
Jo Latay Hain Giran Maya Karamat, Hay
Yeh Lamha
Yeh Lamha Jo Azal Say Hay
Us akhri

niGah
main
Ajab
Dard
tha
MUNIR

JaNe ka
us k
ranj
Mughay
Umer
bhAr
rahA
Yeh Rat Bi Tery Nam hoi !
Jab din doba,Jab sham dhali
Najany yeh kab teri yad ai
Aor dil ki ungli tham chali
Jab din tha khud se kehty thy
Tab kam buhat se rehty thy
Yeh rat talal nimtayn gay
Jab thakyn gay hum so jayn gay
Hum aaj nahi ro payn gay
Teri yad hamyn ayy gi
Koi bat nahi dohraay gi
Hum aaj ki shab nahi jagyn gay
Nahin soch ke peechy bhagyn gay
Hai buhat jo thun sanbhali
Jo mehnat kar ke Pali hai
Yahi thun hamyn bachay gi
Lay neend ki wadi jay gi
Na bechani lahak ho gi,Yeh betabi hi satay gi
Har rat yeh rona kia rona
Ashkon se ghamon ko kia dhona
Kyon Dard ke hathon Jaan khona
Ilam nahi kab sham hoi,Kyon har koshish nakaam hoi
Yeh Rat Bi Tery Nam hoi..............
Hum Dard ke Maron ka,
Hum Dard ke Maron ka,
Itnaa Hi Fasanaa Hai
Peene ko Sharab-e-Ghum,
Dil Ghum ka Nishanaa Hai

Dil Ek Khilauna Hai,
Taqdeer ke Hathho mein
Marne ki Tamanna Hai,
Jeene ka Bahanaa Hai

Deten Hai Duwaaen Hum,
Duniya ki Jafaaon ko
Kyoon Oonko Bhulayen Hum,
Ab Khud ko Bhulanaa Hai

Hans Hans ke Baharen To,
Shabnam ko Rulaati Hai
Aaj Apni Muhobbat par,
Dariyaa ko Rulanaa Hai
Suno jaanaa''n!
Suno jaanaa''n!
Yun tanha ab akailay..
Raat bhar jaaga nahin jata.
K tanha bojh chahat ka...
Tou ab uthta nahin mujh say,
Suno!
Kia aisa ho nahin sakta...
K...........
Aadhi raat ko..
Kuch dair sahi....
Tum agar jago?
Ye chahat ka hasee''n aik bojh,
Aadha hi sahi....
Tum baant lo mujh say,
Phir aadha Dard tum lay lo...
Phir aadhay khwaab tum daikho..
Ye dil ki beqarary...
Mujh say aadhi baant lo tum bhi,
Tou ab tum hi kaho jaanan!!!
Phir iss baar-e- muhabbat ko...
Tum aadha baant lo gay naa?????
har dil mai Dard daba hota hai,

bayan karne ka andaaz juda hota hai,

kuch log ankhon se Dard baha lete hain,

Or kisi ki hansi mai hr ghum chupa hota hai...
Dard se dosti ho gayi yaaron,

Zindagi beDard ho gayi yaaron.

Kya hua jo jal gaya aashiyana hamara,

Door tak roshni to ho gayi yaaron...;->
Tumhay Daikha Nahi ,, Jana Nahi,,
Phir Bhi Lagta Hy,,
Qabeela Aik Hy Apna……


Wohi Dard-E-Judai Hy,,
Wohi Bheegi Hoi Palkain,,
Naseeba Aik Hy Apna…….


Kisi Sy Kuch Nahi Kahna,,
Koi Shikwaa Nahi Krna,,
Qareena Aik Hy Apna……


Kisi Ki Yaad Sy,,
Wirana-e-Dil Jagmaga Lena,,
Khazeena Aik Hy Apna……


Yaqeen Ki Aakhri Hud Tak
Milan Ki Khushgumani Hy
Nateeja Aik Hy Apna.....;->
meri rooh jesay kuchal gya,
koi shaks aisy badal gya,
ye kis ka harf-e- dua raha,
k main girty girty sanbhal gya,
teri yaad jab aany lagi,
mera Dard jesy behal gya,
meri qismaton ka qaafla,
kisi aur janib nikal gya,
tumhain dekhty hain bysabab,
koi khawab mera machal gya,
mera patharon sa garoor tha,
magar tery aqgy pighal gya....
khushi mili to kai Dard rooth Gaye mujh se


Dua karo k main phir se udaas ho jaon
Main Ikswin sadi main jana chaun ya na jana chahun,is say kya farq parta hai?waqt ka seel rawan,chahton ko bahata howa,sapnon ko dabota howa,ankhon ko bhigota howa,in masafton tak lay hi jaega jinhain abhi daikha nhi,main chalun ya na chalun,main rukun ya na rukun,main rahun ya na rahun,mere hone ya na hone say kya farq parta hai?waqt ka karwan to rukta hi nhi.ye chalta hai aur chalta hi rehta hai...dam tori biswin sadi bohat saray dukhon ko meri sanson ki mala main paro ker guzarti chali gai aur main mahi bay aab ki tarhan,Dard k kinaray par khara,kisi maseeha ka muntazir tha.