Daikha SMS Messages34 messages

Soch us wqt meray Dil pe kaya guzra hogi
“D_G”
Jb us ne ghoom k meri taraf Daikha or boli:
Ezcuze me…..
“PAd”
Ap ne maara hy?
jisko b Daikha hy rotay huwe dekha hy

"DOST"
ye mohabbt kisi tissue company ki saazish tou nhi ....:)
Hath baloon main phairay to main so jaun ga.

Koi kissa wo sunaye to main so jaun ga.

Us se kehna k mujay neend ai ati.

Apni bahoon main sulaye to main so jaun ga.

Meri palkon per sajay hain kaye ratoon k diay .

Koi palkoon se bujaye to main so jaun ga .

Akhri sans mjay moka de de zara .

Bad ki Bad main Daikhain gay us se kaho.

Aj ki raat aa jaye to main so jaun ga.
Mere Qatil Ko Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Phir Say Maqtal Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Yeh Shab-e-Hijar To Sathi Hai Meri Barsoon Say
Jayo So Jayo Sitaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Yeh Praishan Say Gaisu Daikhay Nahi Jatay
Apni Zulfun Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Lakh Moujoun Main Ghira Hun, Abi Dooba Tow Nahi
Mujh Ko Sahil Say Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Qabr Say Aaj Bhi ‘Mohsin’ Ki Aati Hai Sada
Tum Kahan Ho Meray Yaroo Kay Main Zinda Hoon Abhi
Firown Ko Sedha Kabi Chalte Nahi Daikha

Girtay Huay Daikha Hay Sambhalty Nahi Daikha

ASGHAR Ki Tarah Maqsad e Islam Ki Khatir

Itna Kisi Bachay Ko Machalte Nahi Daikha
AiK dafa ka ziKar hY k mai sO raha tha, Bilkul aiSay (^_^)
,
.
phir mera phone baja,
.
mai uthgaia, bilkul aiSAy (*_*)
.
mene phone Daikha to alarm tha,
.
time daikh ker meri aankhein aur khul gai, bilkul aisay (O_O)

phr phr...

Phir mujhy yaad aya k SUNDAY hy

Mai phr so gya bilkul aisay
(^_^)
Merey pass sey guzer gaya,

is ney Daikha bhi nahe,

tum chahat ki bat kartey ho woh to bolo bhi nahe,

hum bara maan kartey thai isey jan samajhtey thai,

durr sey guzar gaya hamari taraf ik kadam chala bhi nahe ,

kya ab kabhi tu karey ga kisi ghair par bharosa

FawaD woh bhi to daita tha kasmey jis ney pucha haal tak nahe
sonu .. aissa nahe kertay
suno ! jis dil main raihtay hon
ussay tora nahe kertay
bina jis kai na jee payin
ussay chora nahe kertay
suno ! kuch dair rok jao
koi tadbeer ker lain gay
ju saray khowab Daikhan hain
unhain tabeer ker laingay
ju hathon main lakeerain hain
unhain takdeer ker lain gay
sonu ! kuch dair rok jao
khodara yon tu mat jao
bina tairay yai jeewan hum
kaho kaisay beetayin gay
sonu ! tum yad aa a tu
bohat khod ko rolayin gay
suno ! jub dard hoga tu tarap ker mar he jayingay
sunoooo ! kuch dair rok jao
sunoo kuch dair rok jao ..
mairee jaan theek kaihtee hoo
hamari is mohabbat ka bhala kya faida hoga
hamaray darmyaan ju doriyan hain
kum nahe hongi
kubhe barish kai mosam main
humaisha sath raihnay kee
ju khowahish dil main jagi thi
ju spnay humnay Daikhay thy
wo sapnay tot jaeingay
mairee jaaan theek kaihte ho
moqader kai likhay ko he ager tasleem kerna hay
tu phir issi mohabbat ka
koi bhe faida kaisa?
mugar is ko ager chaho
tu mairee baybassi kaih lo
"" mujhay tumsay muhabbat hay ""
"" mujhay tumsay muhabbat hay ""
Koi ehd b us ko yad nhi,

koi bat b us ko yad nhi.

ik shkhs nay us ko chaha tha,wo zat b us ko yad nhi.

jab shab ki bijli chamki thi,

aur badal tot k barsa tha.

hum dono jis main bhigay thay,

wo barsat b us ko yad nhi.

wo sahil darya phool hawa,

wo wada sath nibhanay ka,

aur shab bhar "chand" ko Daikha tha,wo rat bhi us ko yad ni.

wo kehta tha main sunta tha,

main kehta tha wo sunta tha.

un lakhoon batoon main koi ik bat b us ko yad nhi.
kuch iss qader bhi tu asaan nahin ishq tera
yeh zher dil main uter ker hi raas aata hai

main tuj ko pa k bhi khoya hua sa rehta hoon
kabhi kabhi tu mujay tu ne theek samja hai

mujay khaber he k kiya he judainyon ka aazab
k main nain shakh se gul ko bechirtay Daikha hai

main muskura b para hoon tu kiyon khafa hain ye loog
k phool tooti tooti hoi kaber pe bhi khilta he

ussay ganwa k main zinda hoon iss tarha mohsin
k jaisay taiz hawa main charagh jalta hai
Bhool Sakta Hay Bhala Kaon Yeh Pyaari Aankhain
Rang Mein Doobi Huii Neend Say Bhaari Aankhain

Mairi Her Saans Nay Her Sooch Nay Chaaha Hay Tumhain
Jab Say Daikha Hay Tumhain, Tab Sai Saraaha Hay Tumhain
Bas Gaii Hain Mairi Aankhon Main Tumhaari Aankhain

Tum Jo Nazron Ko Uthaao To Sitaray Jhuk Jaaeyn
Tum Jo Palkon Ko Jhukaao To Zamanay Ruk Jaaeyn
Kyun Na Ban Jaaeyn In Aankhon Ki Pujaari Aankhain

Jaagti Raaton Ko Sapnon Ka Khazana Mil Jaaey
Tum Jo Mil Jaao Jeenay Ka Bahaana Mil Jaaey
Apni Qismat Pay Kerain Naaz Hamaari Aankhain