Badnaam SMS Messages32 messages

naam to likh doun mager phir kheyaal aata hy...
malik
masoom hy sanam Badnaam na ho jye
Mujh Se Bichro Gi Tu
Badnaam Ho Jao Gi.
Saudagaron K Haathon
Nelaam Ho Jao Gi.

Main Sari Raat Haathon
Me Phool Liay Betha Raha,
Mujhe Ye Khabar Na Thi
K Ek Din Bewafa Ho Jao
Gi.

Ye Mohabbat Ka Khail
Tumhary Bus Me Nahi.
Agar Khailo Gi Tu Yun
Hi Haar Jao Gi.

Kaantay Thay Meri Raah
Me Har Dam.
Agar Main Chalon Tu
Tum Khafa Ho Jao Gi.

Ek Din Faaqeer Rotay
Rotay Ye Keh Gaya
Zafar ko.
Jis Se Tum Pyar Karty
Ho Wo Aik Din Bewafa
Ho jayGi.

¤KinG Of SmS¤007
Tum raho hum se door to ik kaam kar jana
Kuch pal apne humare naam kar jana

Agar a jaye mout humain tere aane se pehle
To a kar mere janaze ka ehteram kar jana

Na rona isqadar ke takleef ho humain
Mout ko bhi mazak samajh kar anjaan ban jana

Main ek din so jaon ga sada ke liye,
Phir mujhe bewafa keh ke Badnaam kar jana

Jo guzro meri qabar se to nazrain na phairna
Mehman he ban ke Dua salam kar jana
Dil ki Baat Labon Par La Kar Ab Tak Hum Dukh Sehtey Hain,
Humne Suna Tha Iss Basti Mein Dilwaley Bhi Rehtey Hain,

Beet Gaya Sawan Ka Mahina Mausam Ne Nazrein Badli hain,
Lekin Inn Pyaasi Aankhon Mein Ab Tak Aansu Behtey Hain,

Ek Hamein Awara Kehna Koi Bada Ilzaam Nahi,
Duniya Waley Dil Walon Ko Aur Bahut Kuch Kehtey Hain,

Jis Ki Khatir Sheher Bhi Chhoda Jiske Liyey Badnaam Huey,
Aaj Wohi Humse Begane Begane Se Rehtey Hain,

Wo Jo Abhi Rehguzar Se Chaak-E-Garebaan Guzra Tha,
Uss Awaara Deewane Ko Jalib Jalib Kehte Hai...
USEY KEHNA'' Hum na Ukfat ka bharam sub sa juda rakha hay, Goya seena ma tuja DIL ki jaga rakha hay. DIL ya chaha k tu kabi Badnaam na ho, Dakh zikar tera hay pr naam chupa rakha hay. Mera jis haath sa kiya tha tu na musafa, Dhoya hi nahi honton sa laga rakha hay. Ab ma samjha tera Rukhsar pa Till ka matlab, Doulat-e-Husn par darbaar betha rakha hay. JUDA ho gaye kuch pal k liye to kya hua, Tari TASVEER ko seenay ma saja rakha hay
'' USEY KEHNA''
Hum na Ukfat ka bharam sub sa juda rakha hay,
Goya seena ma tuja DIL ki jaga rakha hay.
DIL ya chaha k tu kabi Badnaam na ho,
Dakh zikar tera hay pr naam chupa rakha hay.
Mera jis haath sa kiya tha tu na musafa,
Dhoya hi nahi honton sa laga rakha hay.
Ab ma samjha tera Rukhsar pa Till ka matlab,
Doulat-e-Husn par darbaar betha rakha hay.
JUDA ho gaye kuch pal k liye to kya hua,
Tari TASVEER ko seenay ma saja rakha hay.
Heer to Raanjha: Mein tere Ishq mein barbaad hogayi hun,
Badnaam hogayi hun,
Ruswa hogayi hun.

Raanjha: To mein konsa DSP ban gaya hun?
mein khud bheek maangta phir raha hun.
poetry of a sardar:

sajno arz kita aa

kutta mar gaya razai wich
ah ha kia baataan

kutta mar gaya razai wich
main mar gaya teri judai wich

kukri haraam ho gayi
tere ishq andar meri jind Badnaam ho gayi
Ain ishq jinhan nu lag janda
oh suk janday waang kaaniyan de

koi suk jaanday koi muk jaanday
khalkat de naal taaneyan de

kayiaan ishq da naa Badnaam kita
koi sar gaye waang parwaniyan de

te Waris Shah ishq de badhay nai chhutday
chhut jaanday qaidi jail khaaniyan de
Jis DIL mein basa tha pyar tera;
Woh dil to kabhi ka tod diya;
Badnaam na tujhe hone deinge;
Tera naam bhi lena chod diya......!!
Kayi Zulm Bhare Raaz Chupaatin Hain Yeh Aankhein
Aiina Dekh Kar Khud Se Dar Jaatin Hain Yeh Aankhein

Shayd Suna Ho Inki Araaish Ka, Toote Sapnon Se Sanwarti Hain
Bheege Aansuon Se Khud Ko Sajaatin Hain Yeh Aankhein

Yun Kahin Dikh Na Jaaye Kitna Dard Basaa Hai Inmein
Har Ek Se Nazrein Churaatin Hain Yeh Aankhein

Yeh Tamanna Rehti Hai Dil Mein K Woh Laut Aayenge
Rasta Tak Tak Kar Khud Ko Behlaatin Hain Yeh Aankhein

Badnaam Ho Gayin Yeh Unki Dewaangi Mein Kho Kar, Par
Unki Khaatir Har Bughz Nigaah Seh Jaati Hain Yeh Aankhein

Woh Nahi Aaya, Khokar Usse Jaane Kaise Yeh Jee Leti Hain
Aakhir Bandh Kyon Nahin Ho Jaatin Warda Teri Yeh Aankhein
Is Anjnabi Duniya Mein,Akela Ek Khawaab Hu
Sawaalo Se Khafa,Chhota As Jawaab Hu
Jo Na Samjh Sake,Unke Liye “KOUN”
Jo Samajh Chuke,Unke Liye Kitaab Hu
Duniya Ki Nazar Mein,Jaane Kyu Chubha As
Sabse Nashili Aur Badnaam Sharaab Hu
Sar Uthakar Dekho,Wo Dekh Raha Hai Tumko
Jisko Na Dekha Usne,Wo Chamakta Aaftab Hu
Dil Se Poochoge,To Dard Ka Sailaab Hu