Akhr SMS Messages123 messages

Apne honton per sajana chahta hon
Aa tujhey main gungunana chahta hon

Koi ansoo tere daman per gira ker
Boond ko moty banana chahta hon

Thuk gaya main kerte kerte yad tujhko
Ab tujhey main yad aanaa chahta hon

Akhri hichki tere zaano pe aaye
maut bhi main sha''erana chahta hon

Rah gayi kuch kami ruswaiyon main
Phr QATEEL us durr pe jana chahta hon
**mohabat kar nehi paaya**
december k maheenay ka,
wo shaayad aAkhri din tha..
baras guzray kaii,
main nay "mohabat" lafz likha tha..
kisi kaaghaz k tukray par!
achaanak yaad aaya hay,
baras guzray kaii,
mujh ko kisi say baat karni thi..
usay kehna tha..
"jaan-e-jaan!
mujhay tum say mohabat hay.."
magar main keh nehi paaya..
wo kaaghaz aaj tak,
lipta para hay dhool main lekin..
kisi ko day nehi paaya,
dobaara chah kar bhi main,
mohabat kar nehi paaya...!!
guzarta hoa saal jesy bhi guzra
magar saal k Akhri din
nehayat kathan hain
har ik simat lashon k ambaar
zakhmi janazon ki lambi qitarain
kahan tak koi dekh paey?

hawaon main barood ki baas
khod aman ki noha khwan hay
koi chara gar,asar e hazir ka maseeha kahan hay!

mery milnay walo
naey saal ki muskurati subh .....gar hath aey
tu milna
k jaty hoay saal ki sa,aton main
yeah bujhta hoa dil
dhadakta tu hay

muskurata nahi
DECEMBER mujhy raas ata nahi___
Aise Main Bas December Ki

Siskiyan leti Hui Sard Tareek

Yaad Ka Alvidaai Manzar

Yaad Aata Hai Aise Main Humain

Tu Bhi Nahi Teri Chahat Bhi Nahi

Bas Mohabbat Ka AAkhri

December Yaad Aata Hai. . .
aisay main bas december ki
Siskiyan leti hoi sard tareek yaad ka
alvidaii manzar yaad aata hay
aisay main humain tu bhi nahi teri chahat bhi nahi
Bass woh muabbat ka aAkhri december yaad aata hay
Haan bass woh aAkhri december .........Yaad aata hay ..!!
DECEMBER kay mahinay ka wo shaid Akhri din tha
baras guzray kai
main nay "MUHABAT" lafz likha tha
kisi kagaz kay tukray per!
Achanak yaad aya hay
baras guzray kai
muj ko kisi say bat kerni thi
usay kehna tha
jaan-nay jaan! "MUJHY TUM SE MUHABAT HY"
magar main keh nahi paya
woh kagaz aaj tak lipta para hay dhool main lakain
kisi ko day nahi paya
dobara cha ker bhi main mohabat ker nahi paya!
December
Guzarta hua saal jaisey bhi guzraa
Magar saal kay aAkhri din nihaayat kathhin hain
Suno...!!!
Naye saal ki muskuraati hui subha
Yeh bujhhta hua dil dharakta to hai
Muskuraata nahi
December mujhey raas aata nahi..!!
Teray Waday Teri Kasmian Yaad Hain Mujhai..
Tu Ne Kaha Tha
Akhri Daam Taak Sath Nebahian Gay HUM DONOO
Tu Ne Kaha Tha Kohi Bi Hum Ko Juda Na kar Payega
Tu Ne Kaha Tha..
Teri Khaater Sari Duniya Choor Doongi Main.
Terey WADAY Teri KASMAIN Yaad Hain mujh Koo...
Lakin Ajj Yea JOoo Khaat Mila To
Ankain Bheeg Gayein...
Is Main Likha Main Ne Paara Hai..
WADA WAFA ka Toor Diya Hai.
Main Ne Tujhai CHOOR Diya Hai,,,,,,,,,,,,,,,
Apnay hothon par sajaana chahta hoon,
Aa tujhay main gungunana chahta hoon !

Koi aansoo tery daaman par gira gar,
Boond ko moti banana chahta hoon !

Thak gaya main kartay kartay yaad tujko,
Ab tujhay main yaad aana chahta hoon !

Cha raha hai saari basti mein andhera,
Roshni ko ghar jalana chahta hoon !

AAkhri hichki teray zaano pay aayey,
Maut bhi main shayraana chahta hoon !

Apnay hothon par sajaana chahta hoon,
Aa tujhay main gungunana chahta hoon
Meray MaRnay K Baad Meri Khaani Likhna
KaiSay BarBaad hOii Meri Jawani Likhna

Yeh Bhe Likhna Usay InteZar Tha bOhet
AAkhri SanSOun Ki jAb hOii Rwanii Likhna

Aur Kya Likhna hAi mUghe kUch Yaad Nahien
AankhOn Mein Aaya Tha bOhet Pani Likhna

Jo Pyar Sey Khai Thien Qasmien Us Ney
Un QaSmOun Ki Kya hOii MehaRbani Likhna

Ik Mein Nahien hOn dUnya Mein mansOor
BArBaad hOi IShq Mein Jis Kii Jawani Likhna

Aur Likhna K Daitay Tha dUa tUghay
Haath Bahir Thay Kafan Sey NiShani Likhna
tamam umar wohi qissa-e-safar kehna!
ky asaka na humy apny ghar ko ghar kehna

jo din ho toh tairy wisl ki dua kerna
jo raat ho toh dua he ko beyasar kehna

ye keh k doob gaya aaj aAkhri soraj
ky hosaky toh isi shab ko ab seher kehna

wo shaqs mujh sy bohat badguman sa rehta hai
ye baat uss sy kaho bhi toh soch ker kehna

kabhi wo chand jo pochy k sheher kaisa hai?
bujhy bujhy hoye lagty hain baam-o-darr kehna

wo aik main ky maira sheher bhar ko apny siwa
tairi wafa ky taqazon sy beykhabar kehna

wo aik tu ky taira her kisi ko mairy begher
mammlat-e-muhabbat mein muat''aabar kehna

wafa ki tarz hai Muhsin ky misslehat kiya hai
ye taira dushman-e-janna ko bhi charrah''gar kehna
Dil se dil ka rabta acha laga,
Aaj us ka sochna acha laga,
Jate jate Akhri lamhaat main mur kar us ka dekhna acha laga,
Zindagi bhar us ne jo kuch bhi kia,
Us ka har ik fasla acha lag,
Har taraf thi bewafa logon ki bheer,
Ik woh hi bewafa acha laga,
Woh hayya ki har ada mein sooyie jab,
Paas reh kar bhi fasla acha laga,
Kiyon mohabbat ho gai us say,
Kya baatae hum ko us main kya kya acha laga!