tasveer SMS Messages67 messages

Suno Ge To Ro De ge Yeh Meri Kahani Hai
Kyun Bataon Anjam-e-Ulfat Yeh Meri Kahani Hai
Halat Jo bhi Hon Hum Usey Chahain Ge
Kyun Likhon Bura Usko Ye Meri Kahani hai
Dard mujhe hai to wo Bhi To Beqarar hoga
Mein Hon Bechain To Wo Bhi Bimaar hoga
Ise Pagal Pan Samjho Yaa Dewangi Meri
Kyun Likhon Usey Khud Se Juda Yeh Meri Kahani hai
Raton ko Kerwatain Badalna Mera Nishani Hai Mohabbat Ki
Wo Bhi Ginta Hoga Tare qasam KHUDA ki
Mohabbat Badnam hai Iss Liye Mujh Pe Yeh Ilzam Hai
Kyun Likhon Usey Herjai Ye Meri Kahani Hai
Hasret Se Dekhna tasveeron Ko Uski Ajab Nahi
WO Bhi Chahti hai mujhe iss mein tajub nahi
Raahain Juda Hain To Kia Hua Manzil Ek Hai
Kyun na Likhon "Kaash" Hamsafer Usey Apna Ye Meri kahani Hai
Seenay se laga loon to lag jati hai seenay se

Tum se to kahin achi tasveer tumhari hai.
Apni Beeti Hui Rangeen Jawani Dega,
Mujh Ko tasveer Bi Dega To Purani Dega.

Aadatein Milti Hein Sooraj Se Bohat Kuch Uski,
Waqt-e-Rukhsat Bi Wo Ik Sham Suhani Dega.

Mere Maathe Ki Lakeeron Mein Izafa Ker K,
Wo Bi Maazi Ki Tarha Apni Nishani Dega.

Barf Hojayega Jab Mere Lahu Ka Dariya,
Tab Kahin Ja K Wo Mojon Ko Rawani Dega.

Maine Ye Soch K Boye Nahi Khuwabon K Darakht,
Kon Jangal Mein Lage Pair Ko Pani Dega..? O_o
kua mile ga tujhe bikhrey huye khuwabon k siwa.
rait pe chand ki tasveer banane walay.
maikaday band huye,dhund raha hun tujhko.
tu kahan hai mujhe aankhon se pilaney walay..
mar gaye hum to ye qutbay pe likha jaye ga.
so gaye aap zamanay ko jaganey walay.
dar-o-diwar pe hasrat si barasti hai"qateel".
janey kis dais gaya saath nibhanay walay.
Apna aap
Aj wo muddat baad aaye
Bus yeh kehnay
Jaana
Meray saray khat lota do
Sub tasveerein kalam
Kitabein
Wapis kar do saray tohfay
Mujh say sab kuch magnay wali
Jatay jatay
Meray kamray ki chokhat par
Chorr gae hai
“APNA AAP”
masmiyat ka ye andaaz bhi mere mehboob ka hai"mohsin"

us ko tasveer mein bhi dekhon to palkein jhuka leta hai...,
Dil gaya tha to ye aankhain bhi koi le jata
Main faqat ek hi tasveer kahan tak dekhun..
Koi suraj jage meri dharti pr

Kuch aisa ho ye rat dhale

Koi hath me thame hath mera

Koi le kr mj ko sath chle

Koi bethe mere pehlu me

Mere hath pe ateri baat kia krty thy,
Ghar ki diwar sajane ki khatr,
Hum tera naam likha krty thy,
Aj teri tasveer dekhi tu yad aya,
kabi hum b muhbat kia krty thy.
Kash kay main musavir hota
Teri ik tasveer banata

Qos-o-qazah kay rang chura ker
Tere chehrey ki zeenat banata

Teri maang sitaroon say sajata
Nazar na lagay tujhay kisi ki

Tere rukhsaar pay siyaah til lagata
Kayee kayee peher tujhay takta rehta..!!!
ye larki to phool se mukhtalif hay
aadhi mohabbat mere saamne
or aadhi mohabbat muj se chop kar karti hay
aadhi raat ko aadhe chaand se
baten karti rehti hay
wo baten jo mujh se karte
uske hont or uski saansen ruk jati hain
uski palken jhuk jati hain
aadhi raat ko takiye ke neche
rakhi meri tasveer ko dekhti rehti hay
phir khud se sharma kar
takiye me mu chuppa kar deer tak hansti rehti hay
''Teri yaad mein humne kalam uthaayi

Liya paper aur tasveer aapki banayi

Socha tha ki usko dil se laga kar rakhenge

Magar vo to bacho ko draane ke kaam aayi...''
Khobsurat phoolon ki tasveer saja rakhi thi Beech mien eik ladki ki tasveer laga rakhi thi Mujhe pata tha woh ladki nikle gi bewafa Isss liyeh mien ne eik aur ladki phasaa rakhi thi.