Humne bhi chaha har manjil karib ho,

Humne bhi chaha har manjil karib ho,
Humne bhi chaha har manjil karib ho,
har waqt aapka saath naseeb ho,
par wahan khuda bhi kya kare,
jahan insaan khud badnseeb ho.
  

May, 27 2010     133 chars (1 sms)     3026 views       Romantic

more Romantic SMS Messages

I ask God for a rose n he gave me flowers;
I ask God for water n he gave me an ocean;
I ask God for an angel n he gave me the best luv ever
Aik Baat Kahoon Agar Suntey Ho ?
Tum Mujh Ko Achey Lagtey Ho

Kuch Chanchal Se , Kuch Chup Chup Se
Kuch Pagal Pagal Lagtey Ho

Hain Chahney Waaley Aur Buhut Par
Tum Mein Hai Aik Baat Bohat.......
Tum Apney Apney Lagtey Ho

Aik Baat Kahoon Agar Suntey Ho ?
Tum Mujh ko achey lagtey ho

Yeh Baat Baat Pe Kaho Jaana
Kuch Kehtey Kehtey Ruk Jaana

Yeh Kis Uljhan Mein Rehtey Ho....?
Kiya Baat Hai Hum Se Keh Daalo

Aik Baat Kahoon Agar Suntey Ho ?
Tum Mujh Ko Achey Lagtey Ho
hum har kse ko apna banayah nai karty
u kise kah liya muskurayah nai karty
jin ko kah daty hain hum apna
hum un ko bholayah nai karty:):*)
Na Khas Ban Ke Mila Karo.... Na Aam Ban Ke Mila Karo....
Mujhe Meri Tarha Se Tum...... Benaam Ban Ke Mila Karo.......
Mana Ke Ye Faraib Hai ........... Ye Faraib Bhi DilFaraib hai.......
Sehraoun ke Sarab Mein........ Tum Sham ban ke mila karo......
Gar Janchna Ho Dard Ko.......... Gar Dekhna Ho Tarp Ko..........
Mujhay Tashnagi ke Alam ain.. TUM jam ban kar mila karo....
Why do we close our eyes wen we sleep -
wen we dream, wen we kiss?
This is becoz the most precious thing in the world is unseen.
When i close my eyes i see you!
Ek teri yaadon ke siwa aur koi sahara nahin
Tujhey bhool ke zinda rahoon dil ko yeh gawara nahi
Ya khuda teri ibadat mein dil lagawoon kaisey
Yeh jaan bhi unki hai, dil bhi ab hamara nahi
Gunah humsey ho sar zad to khuda maaf karey
Qatha ho ishq mein is ka koi kaffara nahi
Loon kiska naam, kisney ujaada hai mujhey
Wafawon ney jaan baqshi hai, jafawon ne maara nahi
Meri udaasiyon mein khudaayi bhi hai shaamil
Chaand bhi na nikla, aasmaan pe koi taara nahi
Doobey hain ghumon mein tho raaz yeh paaya
Yeh woh samundar hai ilyas jiska koi kinaara nahi
mera bus chale to aapki yaadein khareed loon


apne jeene ke waaste aapki baatein khareed loon


ker sakein ko her waqt deedaar aapka


sub kuch luuta ker wo aankhain khareed loon
Main thak gaya hoon janan
kandhon pe daale kab se
beetey dinon ki yaden
tumhari rah guzar mein
gumsum khari hua hoon
ik aas si hai dil ko
palto ge tum kabhi tou
lekin ay mere janan
tumse meri taraf tak
jitne bhi raaste hain
woh badgumanion ke
kanton se bharr chuke hain
kanton mein meri khatir
koi raasta bana lo
bass ab mujhe "" Mana
lo ...!!
KAL HALKI HALKI BARISH THI
kal sard hawa ka ruqs b tha
kal phool b nikhray nikhray thy
kal un mai ap ka aks b tha
kal badal kaalay gahray thy
kal chand py lakhoon pehrey thy
kuch tukry ap ki yadoon k
bari dair sy dil ma thehray thy
kal yadain ulghi ulghi theen
aur kal tak yah na sulgi theen
KAL YAAD BHT TUM AAY THY
KAL YAAD BHT TUM AAY THY
Us Ne Kaha Kon Hai Tumhay Bohat Aziz

Main Ne Kaha DIl Pay Jis Ka Ikhtiyar Hai

Us Ne Kaha Kon Sa Tofha Do Main Tumhay

Main Ne Kaha Wahi Sham Jo Abhi Tak Udhar Hai

Us Ne Kaha Khizan Main Milnay Ka Jawaz

Main Ne Kaha Qarb Ka Mutlab Bahar hai

Us Ne Kaha Sekron Gham Zindagi Main Hain

Main Ne Kaha Ghum Nahi Jub Sath Ghum Guzar Hai

Us Ne Kaha Sath Kahan Tak Nibhao Gay

Main Ne Kaha Jub Tak Yah Sanson Ki Taar hai
MOHABBAT
tumhain zid hai ka main kah doon
mujay zid hai ka tum kah doo
ka mujay tum sa muhabbat hia
nahin yeh jaanta doonoon
muhabbat kab bahla mohtaj hai lafzoon ki ,batoon ki .
mohabbat too humara dill ki darhkanoon main chuppa surili geet ki manid..
muhabbat aankh main palta woo pur israr jazba hai jissa aab tak nahin koi samaj paya
na is ki koi soorat na is ka koi paimana
dhakka lafzooon main to is ka bohat izhar hoota hia
kuch aisa hi ka jaisa aab
taha-e-dill sa too hum doonoon bohat izhar karta hain ,
magar pher na jaana kioon
tumahian zid hai ka main kah doon
mujay zid hai ka tum kah doo
ka mujay tum sa ..............
I have liked many but loved very few.Yet no-one has been as sweet
as u. I"d stand and wait in the worlds longest queue.just for
the pleasure of a moment with u.