tere naam se mera dil maheky
tere deed se meri nazar maheky
khushboo se teri meri saans maheky
tasavvur se tere meri raat maheky
raat ke baad phir seher maheky
bhar lee aaghoosh mein to rooh maheky
teri talab teri chahat se mera wajood maheky
har ek lafz se teri wafaa maheky
tere sath se mera har din maheky
tere dum se hi MAHEK meri dunniya maheky
Baatein kartay hont achaanak ruk jaatay aur,
Aankhain uss k peechay peechay chal parti theen,
Dhyaan ka rastaa kho jaata tha.
Mehfil mein jis simt Woh jaati,
Kamaray ka woh hissa yak-dam roshan ho jaata tha.
Jaadugar theen aankhain Uss ki,
Palkain theen ek Raaz!!
Rooh mein jhilmil ker daiti thi,
Aisi thi Awaaz!!!
my dear, aap manzil ko mushkil samajhtay hain! hum aap ko manzil samajhtay hain! bara farq hai app ki or meri soch may aap humain sapna or hum aap ko apna samjhtay hain!