Dil mein umeedo ki shamma jala rakhi hai,
Humne apni alag duniya basa rakhi hai,
Is umeed ke saath ki ayega phone aapka,
Humne mobile par nazrein jama rakhi hein.
Jab-Jab tanhai ne unko sataya hoga,
tab-tab unko mera khayal aaya hoga,
ghum yeh nahi hai ki woh bhool gaye humko
ghum yeh hai ki Ro-Ro kar Bhulaya hoga.