Tumhein Kya Weham Hay

Tumhein Kya Weham Hay
Tumhein Kya Weham Hay Kiun Raat Bhar Milnay Nahi Aatin

Aey Meri Neend Ki Pariyoon, Main Uss Ko Bhool Kar Khush Hoon
  

May, 13 2014     116 chars (1 sms)     5245 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Falak Ke Teer Ka Kya Nishana Tha

Idhar Mera Ghar, Udhar Uska Aaashiyana Tha


Puhunch Rahi Thi Kinare Pe Kashti-E-Umeed

Usi Waqt Is Tufaan Ko Bhi Yahaan Aana Tha
Wo to AMBER hai,
Ussay Apnay Anchal pay
Chaand Sjanay ka huq hai
Main to Fakat Khushbu hoon
Or khushbu k Muqadar main
Aazl se Bikhar Jana hi Likha hia


Us k Naam jo Zindagi ki Raah main Mera Saath choor k ab pachta raha hai
Samnay na hoon to trasti hain ankaen,

yaad mai tairi barasti hain ankaen,

mairay liye na sahi in k liye aa jaya kro,

tuj sy baipna muhabt krti hain ankaen,
Bhool thi Meri jo mein ne tujhe apna mana
Teri Dosti Ko Mein Ne Teri Chahat jana
Mujhe Na Khabar Thi Ke Tu Aesa Hoga
Ke De Ker Zakham Iss Tarah Se Be-Khabar Hoga
kisi k hissay mein ghar aya kisi k hissay dukaan aee

mein sub say chota tha meray hissay mein MAA aee
Tanhayi to aur ek tanhayio ko dost banatey hai,
Dost jo dosti ki kasam nibhatey hai,
Eh dost tu mujhe chor na jana
Hum to apna sarey gham tujpey utaar detey hai

Piyas Aesi K Pee Jaon Aankain uski
Naseeb Aesa K moyasar Zehar B Nahi
Be-Los Wafain Koi Hum Se Seekey
Jisey Toot K Chaha Usey Khabar Nahi
Mera Khamosh Reh Kar Bhe Unhain Sab Kuch Suna Daina...
Zuban Say Kuch Na Kehna Daikh Kar Aansu Baha Daina...

Nashiman Ho Na Ho Falak Ka Mashghala Thehra...
Kay Do Tinkay Jahan Par Daikhna Bijli Gira Daina...

Main Mujrim Hoon Mujhay Iqrar Hai Jurm-E-Muhabbat Ka...
Magar Pehlay Khata Par Ghor Kar Lo Phir Saza Daina
Raah ka humsafar hi nahin,
Main aapki manzil bhi hoon.

Tanhayee ka sathi hi nahin,
Main aapki har mehfil mein hoon.

Khud se mujhe door na samajhna,
Main aapke hi dil mein hoon.....
Hum aksar ye samajhtay hain
Jisay hum pyar kertay hain
Usay hum bhool bathay hain
Mager aisa nahi hota
mohabbat daimi such hay
mohabbat tehar jati hay
Hamari baat k ander
Mohabbat baith jati hay
Hamari zaat k ander
Mager ye kam nahi hoti
Kisi bhi dukh ki surat mein
Kabhi koi zaroorat mein
Kabhi anjaan se gham mein
Kabhi lehjay ki thandak mein
Udaasi ki zaroorat mein
Kabhi barish ki surat mein
Hamari aankh k ander
Kabhi ab-e-rawan ban ker
Kabhi qatray ki surat mein
Bazahir aisa lagta hay
usse hum bhool baithay hain
magar aisa nahi hota
magar aisa nahi hota
ye hargiz kam nahi hoti...
fursat mile to hame bhi yad kr liamkr kbi kbi.

bari pur-ronaq hoti hain yadain hm udas logon ki.
Hmare dil ki gehrai ko,koi samj paya hi nhi,

kitne tanha hai hum koi jaan paya hi nahi.

Kisi ko hmari kami mehsoos ho,

khuda ne hme aisa bnaya hi nahi.