KAL HALKI HALKI BARISH THI
kal sard hawa ka ruqs b tha
kal phool b nikhray nikhray thy
kal un mai ap ka aks b tha
kal badal kaalay gahray thy
kal chand py lakhoon pehrey thy
kuch tukry ap ki yadoon k
bari dair sy dil ma thehray thy
kal yadain ulghi ulghi theen
aur kal tak yah na sulgi theen
KAL YAAD BHT TUM AAY THY
KAL YAAD BHT TUM AAY THY
meri rusvai my shareek ha barabr ka tu
mery kissy mery yaroo ko sunato kya ha
pass reh kr b na pehchan ska tu muj ko...............
door sy dekh kr ab hath ko hellata kya ha
ma tera kuch b nai mgr itna to bta
dekh kr mujy tery zehan my ata kya ha!!!!!!!!!!!!!
mohabbat na samajh hoti hai samjhana zaroori hai
jo dil main hai use aankhon se kehlaana zaroori hai
usoolon per jo aanch aaye tou takraana zaroori hai
jo zainda hai tou phir zinda nazar aana zaroori hai
bohot bebaak aankhon main talluq tik nahin sakta
mohabbat main kashish rakhne ko sharmaana zaroori hai
saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos kerne ka
jo kehta hai khuda hai tou nazar aana zaroori hai
lagyishun sy mawra wo b nhi ma b nhi
dono insan hai KHUDA wo b nhi ma b nhi
muslahut ny kr dia dono ma paida ihtilaf
warna fitrat ka bura wo b nhi ma b nhi
muhtalif simton ma dono ka safar jari rha
eik pal k liy ruka wo b nhi ma b nhi
chahtay dono bht eik dosary hai magar
ya hakikat ha manta WO B NHI MA B NHI