Nice Poetry

Nice Poetry
Kahin tum bhi na ban jana mazmiin kisi kitaab ka

....."Qanwal".....

LOg baray shoq say parthay hain kahaniyan be'wafaon ki
  

Feb, 16 2013     124 chars (1 sms)     19027 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Tumhain bakhsi hay dil ki hukmarani, aur kya detay?
yehi thi bus hamari rajdhani, aur kya detay?

saja ker sir hatheli per gaye thay koo-e-jana me
hum apnay ishq main unko nishani aur kya detay?

woh hamsay mangta tha umar ka ik dil-nasheen hissa
na detay usko hum apni jawani, aur kya detay?

Sitaaron se kisi ki maang bherna ik fasana hay
tumharay naam likh di zindagani, aur kya detay?

Bichartay waqt usko ik na ik tuhfa to dena tha
Hamaray paas tha aankhon me paani, aur kya detay
WO Baat Baat Pe Deta Tha Mujhe Parindon Ki Misaal
Saaf Saaf Nahi Kehta Ke Mera Shehar Chor De
Kuch tu meray dard ka mafhoom samajh
Yeh haansta huwa chehra tu auron k liye h
wo mujh ko bewafa ka laqub deta hai
saans chalti hai mgr murda bna deta hai...

mt pooch us k maikhaney ka pata aey saqi
us k sheher ka to pani b nasha deta hai.
ae chand tu bhul jayga garur se chamakna,,,

jis roz dekhy ga ik jhalak mere yar ki,,,
Na mile kisi ka saath toh hume yaad karna,
Agar tanha ho kabhi tho mehsus hume karna
Khushiya baatne ko tum dost hazaar rakhna,
Magar gham batna ho toh hume yaad karna.
Sabko Khushi Dene Ki Aadat Hai Hame
Apni Alag Pehchan Bananay Ki Aadat Hai Hame
Kitna B Gehra Zakham De Koi
Utna Hee Zada Muskurane Ki Aadat hai Hame
Bay his hain yahan log,
bhala soch k karna.
is dor may logon say wafa soch k karna.
ek bar jo rothay to mna tm na sako ge,

Hum jaise wafadarkhfa soch k karna,
Gul shahkh se bichrey to kahin ka nahi rehta,

Tum zaat meri khud se jud,
soch k karna.........
mujh se muahbat ka zikar na karna...

kayonk main apne aap se khafa rahta hoon..
Wo bar bar mujhy azmata raha
Misl_e_shama wo jalata raha,

Dost bhi kaha usne mujhy mgr''
Dushmano ki tarhan tarpata raha,

Ungali pakar kr aaksar aandhere raston mai,
Wo bar bar mujh ko girata raha,

Aisa bhi bhala kya Dosti "SAGAR"
Mein rota raha wo muskarata raha.....!
Kisi lamhe kuch jo sochoge

Tumhain hum yaad aayenge

Kabhi yun hi akele main

beet-e- dino ko soch ker

Koi geet jo gungunaoge

Tumhain hum yaad aayenge

Sab doston ki mehfil main

Kisi shokh si baat per

zer-e-lab jo muskuraoge

Tumhain hum yaad aayenge

Zindagi ke kisi morr per

Apne Dil ki baat ko

Kisi se keh na paoge

Tumhain hum yaad aayenge
Be-faida Hy Zeest Main
EhbaabKa Hujoom

Ho Pekar-e-Khuloos Tou
Kaafi Hy Ek Shaks !!!