Hasan(AS) hai naam Konain ka Dulara hai
Khudaee aik taraf yeh khuda ka pyara hai
Ali(AS) ka noor-e-nazar Syeda(SA) ka lakht-e-jigar
Nabi(SAWW) ki aankhon ka pehla haseen tara hai
H:Hasraton Ki Akhri Manzil
U:Ummidon Ki Panah Gah
S:Sajda-E-Ishq Ki Intaha
S:Sabar Ki Intaha
A:Akhirat Main Bakhshish Ka Wahid Rasta
I:Insaniat Ki Darsgah
N:Nawasa-E-Rasool(S.A.W)
Dasht-e-Bala ko Arsh ka Zeena Bana diya
Jungle ko Mustafa ka Madina Bana Diya
Har Zarrey ko Najf key Nagina Bana Diya
Aye Husain Tum ney Marney ko Jeena Bana Diya
para''ey des main bhi apni seekhoon dhoond letay hain
Ali waalay Ali waalon ki khushboo soongh letay hain
naajanay musalmaanon ko nazar kiyun nahin aatay
fazaail to meray Maula k hindu dhoond letay hain