Nazar lagi zamane ki

Nazar lagi zamane ki
Naa Jaane Kyn nazar Lagi Zamane Ki,
Ab Wajah Milti Nhi Muskurane Ki

Tumhara Gussa Hona To Jayaz Tha,
Humari Aadat Chut Gayi Manane Ki.
  

Oct, 26 2011     135 chars (1 sms)     6348 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Mera din chupa kisi raat may

meri raat chupi kisi zaat may.

meri zindgi kisi raaz may

koi raaz hai meri zaat may.

may jahan kaheen bhatak gia

may girta girta sanbhal gia.

mujhy thokroun se pata chala

koi haath hai mery haath may.
Lafzon ki tarah tu mujh se kitabon mai mila kar Duniya ka tujhe dar hai to khawabon mai mila kar Phuloon se khushbu ka taaluq hai zaruri. Tu mujh se mehak ban k gulabo mai mila kar...
Raat Ki Rani Hy, Ya
Teri Yaado''n Ki
Khushbuu

Kuch Tou Hy, Jo
Aangan Mere Ehsaas
Ka Mehka Deta Hy !!!
Ankhon Se Barsat Hoti Hai
Jub App Ki Yad Sath Hoti Hai
Jub Bhi Me SMS Na Karoon Samaj Lena
App Ki Salamti K Lie Meri KHUDA Say Baat Hoti He
koi to Samete koi to Sambhale mujko

kuch der apni Banho me Sula le mujko

Bikhri hui Hawa k sath Safar me hoon

Kabi to Apne Ghar Bula le mujko

Me use Rakhoon Apne Dil ki Dharkan ki tarha

Wo bi Apni Ankh ka kajal Bana le mujko

Me Chahon Wo sirf mera hi rahe

Wo b Apni Zaat ka Qaidi Bana le mujko
mut cheen hum se jeene ki wajha.

tujhe tu apni wafa par bara naaz tha.
Dil ki dhadkan se ehsaas tumhara hota hai
Thame koi hath to wo hath tumhara hota hai
chalti hai hawayein to wo pyar tumhara hota hai
meri jaan meri har baat me ab sirf zikar tumhara hota hai
ab thak gaye hum apni zindagi ke panno ko palat te huae..
jeena chahatay hai apne aaj mae..likhna cahate hai apna aaj..
par likhae bhi tou kya... aaj tou zindagi sirf ek kora kaagaz hai..
naa bacha hai kuch likhne ko... naa padne ko..
wo he roz ki tanhaayi.... wo he dard...
likhae bhi tou kaise.....
kuch likhne se pahele he kaagaz bheeg jaata hai..
mere bahte dard se... ab tou bus ek kora kaagaz liye bahte hai..
shayad kabhi ye ashq shuk jaaye
tou hum bhi kuch apne aaj ki daastan likhae..
isi intezaar mae baithe hai..
Ye dil bholaata nahi hay muhabatin uski
Pari hoi thee mujhay kitni aadatain uski
Ye mera sara safar uski khoshboo main kataa
Mujhay to rah dekhati thee chahatain uski
Hum Sy Poochni Hy
Tou Sitaaro''n Ki Baat
Poocho

Khwabo''n Ki Baat Tou
Wo Krte Hyn Jinhe''n
Neend Aati Hy !!!
Aisa Karna Key Chand Sey Kuch Mitti Lana
Us Main Sey Do Putley Banana
Ek Tumharey Jaisa
Ek Merey Jaisa
Un Potloon Ko Phir Tum Toor Deyna
Un Sey Phir Tum Do Putley Banana
Ek Tumharey Jaisa
Ek Merey Jaisa
Ta K
Kuch Kuch Tum Main Hum Reh Jayen
Kuch Kuch Hum Main Tum Reh Jana
tum apni khudi ke pehre main
aur daam e guroor mai jakre huai
hum apne zou''m ke narghe mai
anaa haath hamara pakre huai