Karachi

Karachi
Bari anokhi Eid ki Kharidari hai Shehar i Quaid main
Log Ro Ro k kafan khareed rahe hain apne jan-nashino k Lye
  

Aug, 29 2011     111 chars (1 sms)     3684 views       Sad

more Sad SMS Messages

DECEMBER

*Sunehri Shamein,
Thatharti Ratein,
Mehekti Coffee,
Woh Bheeni Khushboo,

Khamosh Kamra,
Aatish Daan Sulaghta,
Mein Aur,
Teri Yaadon Ki Khushboo,

Haan Yehi DECEMBER Hai.
Mere Qatil Ko Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Phir Say Maqtal Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Yeh Shab-e-Hijar To Sathi Hai Meri Barsoon Say
Jayo So Jayo Sitaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Yeh Praishan Say Gaisu Daikhay Nahi Jatay
Apni Zulfun Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Lakh Moujoun Main Ghira Hun, Abi Dooba Tow Nahi
Mujh Ko Sahil Say Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Qabr Say Aaj Bhi ‘Mohsin’ Ki Aati Hai Sada
Tum Kahan Ho Meray Yaroo Kay Main Zinda Hoon Abhi
Kaash bananay walay nay dil kaanch k banayai hotay
Kam say kam tornay walay k haath mein zakham tou ayai hotay
Ehsas dilaya hai tou milta hi nahi
Ajnabi tha tou roz mila karta tha
Ab meri hur bat ka woh matlub poochey
Jo meri soch ki tehreer likha karta tha
chahat main...


qurbat ki khatir...


chura kar...


vasl lamhon ki raanai...


wo phair leta hai nigahain...


aur de jata hai...


lambi hilr ki saatain...
Ab To Aankhon Me Sameti Nhi jati Koi Surat MOHSIN
KAASH Me Ne Usay Ghour Se Na Dekha Hota
itna udas shaam ka manzar kabhi na tha,
sooraj ke sath doob gaya mera dil bhi aaj...
Bulaoon ga na miloon ga na khat likhoon ga tujhe,
Teri khushi kay lia khud ko ya saza dun ga ..
har sham shamey gham hy har rat hy andheri
main hon tanha kia zindagi hy meri
Mumkin hai tery baad bhi aati hon gi baharen Mohsin
Gulshan main tery baad kabhi ja kr nahi dekha
qareeb maut khari hai zaraa thahar jao
qazaa se aankh lari hai zaraa thahar jao

thaki thaki si fazaayen bujhe bujhe taare
bari udaas ghari hai zaraa thahar jao

nahin ummeed ki ham aaj ki sahar dekhen
ye raat ham pe kari hai zaraa thahar jao

abhi na jao ke taaron kaa dil dharaktaa hai
tamaam raat pari hai zaraa thahar jao

phir is ke baad kabhi ham na tum ko rokenge
labon pe saans ari hai zaraa thahar jao

dam-e-firaaq mein ji bhar ke tum ko dekh to luun
ye faisale kii ghari hai zaraa thahar jao X
Kia tha maine osse saccha pyar
Kia tha maine oska intizar
Kia tha maine osse wada
kia itna kamzor tha mera pyar