Badalti rut ka ishara

Badalti rut ka ishara
Badalti rut ka ishara dekhte hain

Ab kaise ho ga guzara dekhte hain

Muhabbat ki yeh rasam bhi kitni ajeeb hai

Jaane wale palat kar dobara dekhte hain

Doobne waale doobne se zara pehle

Aik ummeed par kinara dekhte hain

Teri Khudaai se gilah hone lagta hai

Jab duniya men koi be-sahara dekhte hain

Kya muhabbat hamain bhi raas aaye gi
"Sajid"

Aao apna apna sitara dekhte hain.
  

Jun, 09 2010     403 chars (3 sms)     3141 views       Sad

more Sad SMS Messages

"tabassum bhi, haya bhi or berukhi bhi
tera har andaz dil ko bahut bhata he"
Kuch Na Kehna
Chup Chup Rehna
Ye b Ek Udasi Hy.
Hans k Saray Sadmay Sehna
Ye b Ek Udasi Hy.
Bethay Bethay Kho Sa Jana
Yun Hi Dur Khyalon Main.
Chalte Chalte Hanste Rehna
Ye b Ek Udasi Hy.
Maar k Kankar Lehrain Gin'na
Beth k Jheel Kinaray Pr.
Kuch Logon Ka Hy Ye Kehna
Ye b Ek Udasi Hy…
Manzil bhi us ki thi,Rasta bhi us ka tha
Ik mein akela tha,Kafila bhi us ka tha
Sath sath chalny ki soch bhi us ki the,
Phir rasta badalny ka faisla bhi us ka tha
Aaj ku akela hoon,Dil sawal karta hai
Log to us k thy,Kia khuda bhi us ka tha,
Aaj mere "JANAZY" main sara shehr shareek tha FARAZ

jab kay kal hum tanhaiyon kay khoof sy mar gay......
Wahi Ranjshein,Wahi Hasrtein
Na hi Dard-E-Dil Mein Kami Hui

Hai Ajeeb See Meri Zindagi
Na Guzar Saki,Na Khatam Hui
Ansu na hote to ankhe itni khubsurt
na hoti,
dard na hota to khushi ki keemat na
hoti,
agar mil jata koi chahne se
to dunia mein upparwale ki jarurt na hoti.
Wo ojhal meri nigahon se kahan rehta hy
Wo ashk ban kar Aankhon se rawaan rehta hy

Kisi lamhy tanha honay nahi deti uski yadein
Mere Aangan mein melay ka samaan rehta hy

Her gharri dil ka daricha khula rakhty hain
Her gharri us ke aanay ka gumaan rehta hy

Log kehty hain zakham bhar jatay hain aakhir
Zakham bhar jatay hain lekin nishaan rehta hy

Wo milay to itna bata dena usko
Tujh bin Tera pyar preshaan rehta hy
Meri Maut Hai Meri Hamsafar Meri Zindagi Bhi Ajeeb Hai
Meray Charo'n Tarrf Hai Jalwa Garr Teri Be Rukhi Bhi Ajeeb Hai

Mera Dard Hai Lab E Aashna Teri Ranjisho'n K Azaab Say
Meray Shair Hain Meray Chara Garr Meri Dil Lagi Bhi Ajeeb Hai

Jo Hai Ta'ana Zann Meri Zaat Par Mujhay Unsay Koi Gila Nahee'n
Mujhay Jaan Say Hain Azeez Tarr Meri Dosti Bhi Ajeeb Hai

Mai Lahoo Jigar Say Guzar Kar, Tujhay Naql Karta Hoo'n Warq Warq
Hai Qalam Ki Nauk Say Mukhtasar Teri Aagahee Bhi Ajeeb Hai

Mai Peher Ki Tapti Hawao'n Say, Karhi Dhoop Mai Kharha Be Khabar
Saray Reh-Guzar Tera Muntazar, Meri Be Basi Bhi Ajeeb Hai
Har chehre par guman uska tha
basa na saka khali makan uska tha
lakho dard mit gaye dilse lekin
jo mit na saka wo ek naam uska tha..!!
neend se kiya shikwa karun main....! sagar

qasoor to us chehray ka hai jo mujhe sonay nahi deta.....!
Hazaron Gham Khaye Hain Main Ny Zindagi Mein

Koi Bhi Sun'ne Wala Nahi Mera Dard Bhara Afsana...!
Beginnings are scary.
Endings are usually sad,
but it’s the middle
that counts the most.