Jo ansu na hote annkho mein.....to aankhe itni khoobsurat na hoti..!!!!!!!
jo dard na hota dil mein.....to khushi ki kimat pata na hoti..!!!!!!!
jo bewafai na ki hoti waqt ne......to wafa ki kabhi chahat na hoti..!!!!!!
Agar maangne se puri ho jaati muraadein.....to uss khuda ki kabhi Zaruratt na hoti..!!!!!!!!
rozana ki bhag daur mey hum sub yehi intzar ker rahey hain k hamari zindagi ka ek din essa aaega jab hamari tamam khuwaishain poori hojaengi, haan din to aaega, zaroor aaega, magar khatam khuwaishain nahi balkey zindagi hojaegi.