Lafz app do
Geet ham banaien ge
Rastaa app do
Manzil ham painge
Bandhan aap do
Rishta ham bandhe ge
Phool aap do
Lari ham banaige
Kushi aap do
Hansi ham denge
Sache dost aap bano
Dosti hum nebhainge.
ik chota say sapna tha
us sapne mein koi apna tha
us apne mein kuch sakoon tha
jo zindagi ka junon tha
us junoon mein ek rahat thi
jo sirf teri chahat thi
us chahat mein ek andaz tha
jo meri dhadkano ka raaz tha
us raaz mein ek khushbo thi
jo meri sooch ki justuju thi
us justuju mein ek hararat thi
jo meri khushiyoun ki sharat thi
us shahrat mein mein ek ehsaas tha
k tou jo mere pass tha
us pass mein jo ek araam tha
woh bus sirf ek tera naam tha
Zamane se kab ke hum gujar gaye hote,
thokar na lagi hoti bach gaye hote,
bandhey the to bas tere dosti ke dhage mai,
warna kabke motiyo jaise bikar gaye hote..