Na intzaar hai na ikraar hai, na aapse milne ko ab mera dil be-kraar hai,
phir bhi dil se na jaane kyon yeh aawaz aati hai, wo tumhi ho jinki aankon aur
baaton mei ek sachchi dosti ka khumar hai.
Ek dost aisa chahiye jo
Hume apna maan sakay
Hamray har dukh ko jaan sakay
Chal rhay hoon hum tez barish mein phir bhi pani
Mein ansso ko pehchan sakay
Jab-Jab tanhai ne unko sataya hoga,
tab-tab unko mera khayal aaya hoga,
ghum yeh nahi hai ki woh bhool gaye humko
ghum yeh hai ki Ro-Ro kar Bhulaya hoga.