Wafa ruswa nahi karna
Suno aisa nahi karna
Main pehlay he akela hoon
Mujhe tanha nahi karna
bohat masroof ho jana
To socha nahi karna
Bhrosa bhi zaroori hai
Magar sab ka nahi karna
Muqadar phir muqadar hai
Kabhi daawa nahi karna
Jo likha hai wo hona hai
Kabhi shikwa nahi karna
Meri takmeel tumse hai
Mujhay aadha nahi karna
Haqiqat ha Milan apna
Isay spna nahi karna
humein tum yaad rahtay ho
Humein bhoola nahi karna
Yaade hoti hai satane ke liye,
koi ruthta hai fir maan jane ke liye,
dost banana koi mushkil to nahi,
bus jaan tak chali jati hai use nibhane ke liye
[email protected]
ye lamhey yun he guzar jaeen gey,
shayad ham dost yun he bichar jaeen ge,
naraaz na hona hamari shrartoon se,
ye hi tu pal hain jo kal yaad aeen gey...