Us Ne Door Rehnay Ka Mashwara B Likha Ha,
Saat He Mohabbat Ka Wasta B Likha Ha.
Us Ne Yeh B Likha Ha Meray Ghar Nehn AAna,
Or saaf Lafzon Me Rasta B Likha Ha
Tujhay kia khabar teri yaad
Nay humein kaisay kaisay sata dia
Kabhi khalwaton mein hansa dia
Kabhi mehfilon mein rula dia
Teray ishq mein kabhi yun huwa
K namaz apni qaza hui
teri aarzoo ne kabhi mujhe meray pak rab se mila dia
Dil se tera khayal na jaye to kya karu?
tu hi bata teri yaad aaye to kya karu?
hasrat hai ki ek nazar tujhe dubara dekh lu
kismat woh lamha na laye to kya karu?