kiya zaruri hay kay mein nay jisay chaha tha kabhi
agli duniya bhi meray piyar ko us ka paye
kiya zruri hay jo dharka na kabhi meray liye
agli rut mein bhi mera dil usay pathar paye
wo chand chup gia mujhe raat sonp kar,
Aankhoon ko intezar k lamhat sonp kar,
Aik shaihas tha jo mujhy se bichar gia,
Aankhoon ko meri mosam barsaat sonp kar.
Bheed mein reh k bhi khud ko to main tanha paoon
Kon hai mera siwa tere main kahan jaoon ?
apne hathon se nasheman ko jla loon kaise
main tujhe is dil se is dil se nikaloon kaise?
ashk palkon mein chupa loon kaise?