Kaise intehaan yeh zindagi ne liya hai
Badla kaisa yeh meri aashiqi ne liya hai
Yeh jo range udasi hai, mere aangan main yaaron
Yeh taufa maine yaadon ko chandni se liya hai
yaadyn tere khuloos ki dasti hyn aaj bhi
milnay ki aarzoo may tarasti hyn aaj bhi
ankhyn hazar zabt ki koshish k baawajood
ruk ruk k baar baar barasti hyn aaj bhi!!!
Tanhayian jaane lagi zindagi muskurane lagi,
Naa din ka pata hai naa raat kaa pata.
Aap ki dosti ki khushboo hume mehkaane lagi,
Ek pal to karib aa jao dhadkan bhi awaaz lagane lagi
Door ho gaye par bhulaya nahi hai..
Ehsaash tere hone ka abhi dil se mitaya nahi hai..
Jis din se gaye ho mujhe tanha kar ke..
Teri kasam .. maine theek se muskuraya nahi hai..