There''s no Specia

There''s no Specia
There''s no Special reason for this msg, I just wanna steal a single moment out of ur busy life & hope I can make u smile n say: I Miss U.
  

Jun, 11 2010     139 chars (1 sms)     3702 views       Miss You

more Miss You SMS Messages

Being near is not the meaning of being dear,
I may be far from u but msgs are bridges
2 make u feel that I always REMEMBER YOU!
KABI DEKHA HAI TUNE EK NAZAR SHAM KE SATH
KITANE CHUP CHAP SE RAHETE HAI YE SAHAR SHAMM KE BADD
TU TO SURAJ HAI TUJE SHAM KA DUKH PATA HAI KYA
TU BHI KISI ROJ UTAR MARE AASHIYANE MAI SHAM KE BADD
LAUT AYE NA WO AWARA MIZAZ KAHI KISI ROJ
BUS ISI ASS PAR KHULE RAKHATE HAI APNE DAR SHAM KE BADD
Tamanao mei bhi tumhe yaad karenge...
teri har baat par etbar karenge...
tujhe aane ko to nahi kahenge...
par fir bhi tera intezar karenge...
Whenever I miss you, stars falls down from the sky.
So any day if you find the sky empty, don"t blame me!
It"s all your fault; You made me Miss You So Much
Tera dard tha, teri yaad thi,
Main jahan raha, main jidher gaya,
Mera din tu yunhi guzar gaya,
Junhi sham hoi main bikhar gaya,
Is abar ka mere yaar say
bara milta julta mizaj hai,
Kabhi tot k baras gaya,
Kabhi berukhi say guzar gaya,
Jab main chhor donga wo gali,
Usay yaad aay gi tub meri,
Dhondhay ga wo gali gali,
Usay milay gi khaber K main mar gaya,
Abi tang hai wo meray naam say,
Mere baad wo aye ga, dosto.
Tumhe ko rook k pochay ga wo,
Wo kahan pe ha?
Wo kidher gaya?
Usay milay gi khaber k mai mar gya.....
Kabhi kabhi meray dil mein khayal ata hai
K zindagi teri zulfon ki narm chhaon mein
Guzarnay pati tu shadab ho bhi sakti thi
Yeh teragi jo meri zeest ka muqadar hai
Teri nazar ki shuaon mein kho bhi sakti thi
Ajab na tha k mein begana alm ho kar
Teray jamal ki ranaeon mein kho rehta
Tera gudaz badan teri neem baz ankhein
Inheen haseen fasanoon mein mehav ho rehta
Pukarteen mujhe jab talkhiyan zamanay ki
Teray labon say halawat k ghoont pee leta
Hayat cheekhati pherti barehna sir aur mein
Ghaneri zulfon k saya mein chhup k jee leta
Knowing a person like u, has made me happy in a million ways and if ever I have
to let u go... I would find a million reasons to make u stay. I miss you.
Dil ko aata hai jab bhi khayaal unka,

Tasveer se poochte hain phir haal unka.

Vo kabhi hamse poocha karte the judaai kya hai,

Aaj samajh aaya hai sawaal unka.
Jab mujhe laga ki mai unhe kho raha hu,

aisa laga ke maut ke aagosh mai so raha hu.

na hojaye unki bewfai mashur yaro,

Unki yad mai mai kabr mai ro raha hu.
Kal halki halki barish thi
Kal sard hawa ka rawa bhi tha
Kal phool bhi nikhray nikhray thay
Kal un me aap ka aks bhi tha
Kal badal kaalay gehray thay
Kal chaand pay laakhoon pehray thay
Kuch tukray aap ki yaadoon k
Bari der tak dil mei thehray thay
Kal yaadein uljhi uljhi theen
Or kal tak yeh na suljhi theen
Kal yaad bohat tum ay thay
Kal yaad bohat tum ay thay
Nahi Fursat Yaqeen Mano
Hamein kuch Aur Karney Ki..



TERE KHAYALAAT..


TERI YAADEIN..


TERI BAATEIN..


Hamein Kasam se Bohat Masroof Rakhtein Hein...!!
Humesha muskura kay aansooun ko chupaya
Ghum ko chupanay ka yehi rasta nazar aaya

Kis kis ko batatey behtey ashkon ka sabab
Kay derd-e-dil dil main kis nay jagaya

Mehfilon main kahin bhi maza na raha
Rakha dil pay pather to khud ko sajaya

Baat bay baat apni aahain daba ker
Yaron kay dermiyan kis qadar muskuraya

Na thi chah kabhi mujahy mankashi ki
Jaam-e-wafa kisi bay wafa nay pilaya

Kya muqadar say shikwa kertey rahain
Jo qismat main tha wohi kuch to paaya

Yeh kis mor pay aagaee hain umeedain
Kay saaya-e-manzil nazar main na aaya

Apnoon nay palat kay daykha tak nahin
Ghairon nay aaker galay say lagaaya