Apne labon ki Hansi

Apne labon ki Hansi
Apne labon ki Hansi Aap k Naam kar Dengay,Har Khushi Aap Pe Qurbaan kar Dengay,Jis Din Hogi Kami Meri Dosti Men,Zindagi ko Moat Kay Naam kar Dengay.
  

Jun, 07 2010     149 chars (1 sms)     3463 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Chooryaan hath mein thin
aur hathon mein uska haath b tha
sham-e-tanhayi bhi thi
rung aur noor ki barsaat b thi
mosamon ka junoon urooj per tha
dharkanon per b ikhtiyar na tha

uski madhosh nigahon mein talab pyar ka tha
kaanpte hathon se uske shugufta hathon mein
choorhyaan mujhse na pehnayi gayin
haan mager hath ghayal ho hi gaye
usne nazerein jhuka kar itna hi kaha
jayiye aapse nahi bolti
aapse itna bhi nahi hota..!!
Kya khabar Thi K Chalay Gi Kabhi Aisi B Hawa

khusk Patton ki Tarah Dost Bikhar Jayein Ga
Meray yaar jaisa koie nahi ,
Meray pyar jaisa koie nahi ,

Dehko meray yar ki mohabbat
meri lush ko dehk nay kya liye un kya pass waqt yehi nahi...
Aankho''n ki tehreer ko parrhna....


Jis din mai''n nay seekh liya....


Bas us din say her aik apna....


Bay-gaana lagta hay...
Khusbu Se Hawaon Se Bhi Miltay Nahi Kuch Log

Mossam Ki Adaon Se Bhi Miltay Nahi Kuch Log

Mil Jaye Tu Jevan Ko Saja Detay HAin Laken

Bicherain Tu Duaon Se Bhi Miltay Nhi Kuch Log..
Lhika Hai Mera Naam Samnder Per Hawa Nay





Or Dono Ki Fitrat Main na Sakon Hai Na Wafa Hai....
main subha o shamm lihkti ho
zameen pay jitni bhi achi zubanay
boli jati hai
main un say harf chunti aur
tumhara naam likhti hoon
Akser ye sochte hein akeyle mein beth kar,,

jab tum the mere sath who lamhe kidhar gaye.
jo khayal thay sabhi jall gaye,

mere Lafz maani
Badal Gaye,


to meri nAzAr se he bojh le

Meri zindagi ki pahalian.
Aansu aankhon se girnay ka takaza na karo,
Ru''Ba''Ru un k mujhe itna bhi ruswa na karo,
Zakhm sehnay ki sakat bhi nahi ab to dil mei,
Dard barhta hai mujhe pyar se dekha na karo,

Charah sazo ye mera dard nahi qismat hai,
Jhuti taskeen se mere gham ka madawa na karo,

Pyar to de na sakay yadain hi dete jao,
Chornay wale mujhe itna bhi tanha na karo,

Nazah k waqt "SaaMer" to na lo naam unka,
Aakhri waqt mei to pyar ko ruswa na karo.
Tere Milny K Mausam Lamhy Phool Jesy

Magar Phoolo''n Ki Umrai''n Mukhtasir Hyn
Kabhi tum milnay aao na
Tumhein mehsoos karna hai
Tumhein bahon mein bharna hai
Tumhari zaat mein kho kar
Tumhara hissa banana hai
Mujhe weeran ankhon mein
Tumhari bikhari baton mein
Wafa ka rung bharna hai
Tumharay phool chehray par
Udasi ka jo manzar hai
Yahan pay apni chahat say
Hansi ko naqsh karna hai
Tumheray sath mil k
Zindagi ki jung larna hai
Kabhi tum milnay aao na
Tumhein mehsoos karna hai