Jane kis baat ki mujhko

Jane kis baat ki mujhko
Jane kis baat ki mujhko saza deta hai,
meri hasti hui ankhon ko rula deta hai.
Ek muddat se khabar bhi nahi teri,
koi is tarah bhi kya apne dost ko bhula deta hai.
  

Jun, 07 2010     167 chars (2 sms)     2334 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

kon kehta hy k aadmi apni kismat khud likhta hy...


agar yeh sach hy tu kismat mein dard kon likta hy...?
Pehli Si Wo Ulfat Na Rahi ,

Ab Doston Mai Rasm-e-Mohabat Na Rahi ,

Muddat Se Meri yaad Se Ghafil Hai Dost mera ,

Shayad ab Usko Meri Zarorat Na Rahi
ay kaash kabi esa hota
tujh ko sirf mujh se piyar hota
kismat ka ye shahkar hota
waqt humara gulam hota
teri aankhon main halkore khata hua
wo aks sirf mera hota
duniya ka na phir koi dar hota
dushman na koi humare beech hota
ye zamana humara meet hota
mere labon pa tera geet hoya
main mar b jaoon to kiya hota
tu zinda hota mera piyar zinda hota......
kuthan hai zindagi kitni
safar dushwaar kitna hai
kbhe paon nhe chalty
kbhe rasta nhe milta
hamra sath dey pay
koi esa nhe milta
faqat aisy guzaron to
ye roz.o.shab nhe katty
ye katty thy kbhe pehly
mager han ab nhe katty
muje phir bhe mery malik
koi shikwa nhe tujh se
men jaan per khail skti hon
men her dukh jhail skti hon
agr to aaj he kr dey
muhabat hamsafar meri
Ye mohabbat k haadsay aksar dilon ko toar dete hain,

tum manzil ki baat karte ho log rahon pe chor dete hain.
Aaj us ki yaad ne hamain tarpaya bohat,

aaj na chahtay howay bhi woh yaad aya bohat,

uss k baad tu jasay vehshaton se dosti ho gai,

phir kyon aaj tanhaiyon ne daraaya bohat,

woh mera tha,mera hai, mera rahay ga,

hum nay iss khayal se khud ko behlaya bohat,

hum ne jis kisi ko bhi humdard samjha apna,

woh hamare dukh pe na jaane kyon muskuraya bohat...
khud ko chuntay huway din sara nikal jata hai
phir hawa shaam ki chalti hai, bikKhar jata hoon
Shayad Ye SACH Hy

K Bicharne Se Koi Marta Nhi

Lekin Ek Din

Maine Phool Ki Tehni Ko Juda Kia Tou

Phool Chand Saanio''n Main Murjha Kar Dum Tor Gya

Tab Maine Jana K Agar Jazbe Sache-o-Belaus Hon Tou

Bicherne Se Koi Bhi Marr Sakta Hy. . .
Her ek roop me sajne lage ho..

Baharoon ki Rut Main Nikharne Lage Ho..

Irada Na Karna Bicharne Ka Ab Tum.

Kyoun k Ab Apny Apny Se Lagne Lage Ho..
Ab to tanhai ka ye aalam h faraz..
Koi hans ke bi dekhe to muhabt ka guman hota hai
Parwanay ko sham''ma pe jal k kuch tou milta hoga ~Mohsin~

Sirf marnay ki khatir tou koi jaan nahi deta....!!
Hmare dil ki gehrai ko,koi samj paya hi nhi,

kitne tanha hai hum koi jaan paya hi nahi.

Kisi ko hmari kami mehsoos ho,

khuda ne hme aisa bnaya hi nahi.