Milta tha mujh sai woh

Milta tha mujh sai woh
Milta tha mujh sai woh kabhi pal pal k farq sai..
Phir rafta rafta farq yeh saalon mai aa gaya...
Phir yoon hua k aankh sai aansu nikal parray...
Chehra kabhi jo us ka khayaalon mai aa gaya !
  

Jun, 05 2010     194 chars (2 sms)     3554 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Chandani raaton mein aansoo se andhera geela karna,

yehi toh ishq ka bada pyara andaz hai,

kabhi waqt mile toh mujhse bhi mohabbat karke dekhna,

teri berookiyon ko aaj bhi mera adaab hai!!
taskeen dil k waste wada to kejaye..

humain tu maloom hai aap se aya na jaye ga..
yeh to hai apnaa apnaa hausla apnii apnii u’Daan hai
koi u’D ke rah gayaa baam tak,koi kahkashaa’n se guzar gaya
Mere Andaz-E-Wafaa ko Jab Samjh jao Ge
Meri Yadon Se Phir Na Behel Pao Ge
Ben jaonga Mein Tumhare Liye Harf-E-Dua
Khud Ko Jab B Sajde Mein Pao Ge
Mujhe kisi k aaney ka itna yakeen tha "SAGAR"


Raat kat gai or main ghar he sajaata raha...!!!
Tumhare Baghair Tumhare Sang Rehne Lga Hu

Khud Ko Kuch Is Terha Se Saza Dene Lga Hun

Pathar Ki Terha Se Hoon Kabhi YeHumnam B Tha

Zard Patton Ki terha Se Roz Bikharnay Lga Hun

Kash Mujhe B Mere Hissay Ka Pyar Mil Jaye

Issi ass Per Ab Mai Yahan Jeene Lga Hon

Koi Nahi Marta Kisi K Bagiar Kabhi Yeh Kha Tha

Din Rat Yehi Soch Kar Ab Marnay Lga Hun

Tum Ne Kha Tha Koi Juda Nahi Kr Sakta Hamain

Ab Yehi Duaa me B Karne Lga Hoo
Yaadon main Teri yaad Thi,

Kya yaad Tha Kuch yaad nahi,

Teri yaad main Sab Bhul Gaya,

Kiya Bhol gaya Kuch Yad nahi,

Bas yaad ho tum ,
Sirf yaad ho tum,

Kyun yaad Ho Tum,
Kuch yaad Nahi......!!
sapne aakhir sapne hote hain,
unke poore honeki umeed mat karna....
koi aaye ya na aaye,
tumm apni aankhen nam na karna....
yeh zindagi tumhari apni hain,
ise kisike liye khudse juda mat karna....!
Meri aankho me apna chehra dekh lo,
yaha aaino ka bazar nahi hai,
in labo pe hamesha muskan rakhna,
yaha aansuo ka koi khrid dar nahi hai.
Oudaas Shamo ki Siskiyon mein
Kabhi jo Meri Awaaz Sun_na

Tu beetey Lamhon ko Yaad kr k
Inhee Fizaaon mein loot aana

Tum aaya krte thy Hawab ban kr
Kabhi mehakte Gulaab ban kr

Mein Hushak Honton se Jab Pukaaron
In Adaaon mein Loot aana

Meri Wafaaon ko Paas Rakhna
Meri Duaaon ko Paas Rakhna

Mein Haali Hathon ko Jab Outhaon
Meri Duaaon Mein Lout Aana..........
Kabhi is nagar tujhe dekhna
kabhi us nagar tujhe dhondna

kabhi raat bhar tujhe soochna
kabhi raat bhar tujhe dhondna

mujhe ja ba ja teri justujo
tujhe dhond-ta ho mein ko ba ko

kaha khul saka tere ro ba ro
mera is qadar tujhe dhondna

mera khawab tha k khayal tha
wo urooj tha k zawal tha

kabhi farsh pe tujhe dekhna
kabhi arsh pe tujhe dhondna

teri yaad aie to roo dia
jo tu mil gaya tujhe kho dia

mere silsily bhi ajeeb hain
tujhe chor kar tujhe dhondna
lagta hai toot gaye
ehsaas k sare bandhan
"seqi"
aj tarpa hai wo dil
jo dharka hi na tha....................