kub kon kissi ka hota hai
sub jhote rishte natay hain
sub dil rakhne ki baten hain
sub assli roop chupate hain
ikhlas se khali log yehaan
lafzoon k teer chalate hain
ik baar nighahoon main akar
fir sari umr rulatey hain
Dedar ho jay tera yahi dua hai ab to
Kuch samay mily undhar yahi dua hai ab to
Itna paicheda to nahi us k loutny ka rsta
Lout ay jald wahan se yahi dua hai ab to
gham-e-zindagi sai farar kya
ye sukoon kya ye qarar kya
gham-e-zindagi bhi hai zindagi
jo nahin chen tu nahin sahi
sar-e-toor ho sar-e-hasher ho
hamain intezaar qubool hai
wo kabhi milain wo kahin milain
wo kabhi sahi wo kahin sahi........
Dil Main Har Raaz Daba Kar Rakhte Hain
Hontoon Per Muskurahat Saja Kar Rakhte Hain
Yeh Duniya Sirf Khushi Mein Saath Deete Hai
Iss Liye Hum Apne Aansoon Ko Chupa Kar Rakhte Hain