Tum Mujhe Aisay Tang Na Kia Keroo NA

Tum Mujhe Aisay Tang Na Kia Keroo NA
SUno!


Tum Mujhe Aisay Tang Na Kia Keroo NA




Kyunkayyy


Jab Tum Nahi Houtay


To Mein Bohat Tang Hojatii Hun :
  

Jun, 01 2010     129 chars (1 sms)     5499 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Tere pyar ne bahut kuch sikha diya,

Meri khamosh duniya ko jaise hasa diya,

Karzdar hu mein us khuda ki
Jisne mujhe tum jaise humsafar se mila diya.......;->
Saffar kitna bhe ho musaafir ko To chalna hee hai
Wo Sangdil kitna bhe ho humain Zulm to Sehna hee hai
kitni mushkil se muhabat ka hova hai aaghaaz...

kerwatein leti hai kiun khwahis-e-anjaam abhi...!!
Koi naaz tha jo raha nahi,

Koi khayaal tha jo kaha nahi,

Koi aarzoo thi dabi dabi,

Koi bojh tha jo hatta nahi,

Kisi morr pe to woh milay mujhay,

Koi morh aysa bana nahi...!
Jis Shakhs K Liye Hum Ne Saari Hadain Tor Deen,

Us Shakhs Ne Humain Aaj Kaha Hai K Apni Had Mein Reh Kar Baat Karo.
Jab Bhi Sochogi Har Fasana Yaad Aayega,
Kab Ki Thi Kya Baate Wo Zamana Yaad Aayega,
Sukh Jayenge Tumhare Honth Aankh Se Aansoo Nikalenge,
Phir Dil Se Aawaz Dena Ye Diwaana Chala Aayega.
koch kehnai ka waqt nahi hai koch na kaho khamoosh raho
ai logo khamoosh raho haan ai loogo khamoosh raho

sach acha, par is kai jalo main, zehr ka aik piyala bhi
pagal hu, kiyoon nahaq ko "suqraat" banoo, khamoosh raho

haq acha par is kai liya koi aur marai tu aur acha hai
tum bhi ki "mansoor" hu jo soli pai charhoo, khamosh raho

un ka yeh kehna soraj hi dharti kai phairai karta hai
sar ankhoon par, sooraj hi ko ghomnai do, khamoosh raho

majlis main kooch habs hai aur zanjeer ka ahan chubhta hai
phir soocho, haan hir soocho, haan phir soochoo, khamoosh raho

garm ansoo aur thandi anhain, man main kiya kiya mausam hain
is baghya kai bhaid na kholoo, sair karoo , khamoosh raho
Hazaaron Mashghaly Hain Jo Mujhy Masroof Rakhty Hain....

Mgr Mohsin Woh Aesa Hai K Phr Bhi Yaad Aata Hy....
*0#Usne kaha Tha Sunoo...
Ehad Nibhane Ki Khatir Mat Aana..
Ehad Nibhane Wale Aksar
Majburi Ki Thakan Se Lauta Kerte Hai..
Tum Jao
Samandar Samandar Apni Pyas Bhujao
Jin Aankhon Main Utro
Jis Dil Main Duubo
Meri Tanhai Tumhain Awaz Na Degi
Magar Jab
Meri Khuwaish Aur Chahat Ki Leh
Itni Oonchi Aur Tez Ho jaye
K Dil Ro de
Tou
Laut Aana... :-/
shishA Dil to jur nA Paey Ga

kis lhay kaanch ab youn Chunte Ho

koi tabeer he nhi inki

Bewaja ..ali khwab bunte ho
Ek Pasheman Si Hasrat Se Mujhe Sochta Hai
Ab Wohi Shahar Mohabbat Se Mujhe Sochta Hai
Mein To Mehdood Se Lamhoo Me Mii Thi Os Ko
Phir Bhi Wo Kitni Wizahat Se Mujhe Sochta Hai
Jis Ne Socha Hi Na Tha Hijzar Ka Mumkin Hona
Dukh Mein Dobi Howi Hairat Se Mujhe Sochta Hai
Garcha Ab Tark-E-Marasim Ko Bohat Dair Howi
Ab Bhi Wo Meri Ijazat Se Mujhe Sochta Hai
Kitne Kush Feham Hai Wo Sakhs Ke Har Mausam Mein
Ek Naye Rukh,Naye Soorat Se Mujhe Sochta Hai
apne hi haal pe hansna bhi hans ke rona bhi.

main bayak waqt tamasha bhi,tamashai bhi.