Aj December ki pehli shab hai
Khanak khanak see
Sard sard see dhund alood
Beetay dinon ki saari batein
Aik aik kar k zehan k
Dareechon say jhank
Rahi hain
Kahin pay manzar bhag rahay hain
Kahin par muqadar jag rahay hain
Har aik lamhay ko khoj rahay hain
Aisay lamhon mein kuch deewanay
Beetay dinon ko soch rahay hain
Suno K Meri Tou Sb Wafai''n Ajab Si Hyn
Meri Mohabbat Ki Intihai''n Ajab Si Hyn
Qubuliyat Ki Tamam Rahe''n Khuli Hyn Lekin,
Main Kia Kron K Meri Duai''n Ajab Si Hyn
Kabhi Dil Ye Chahai Sms Karey Koi.
Hum Bhi Kahain K Hum Ko Bhi Sms Kerta Hai Koi.
Kia Hum He SMS ker K Yaad Dilaen K Hum Zinda Hain.
Kabhi Aap Bhi Apni Zindagi Ka Ehsas Dilay Koi
Hajoom Mein Tha Wo Na Ro Saka Hoga
Magar Yakeen Hai Shab Bher Na So Saka Hoga
Wo Shaks Jise Samjhne Mein Mujhe Umar Lagi
Bicher Ke Mujhse Kisi Ka Na Ho Saka Hoga
Chalo Is Shaam Koi Or Hi Qissa Sunatey Hain
Chalo Is Shaam Us Ko Hum Sirey Sey Bhool Jatey Hain
Chalo Is Shaam Koi Aney Wala Khawab Buntey Hain
Chalo Is Shaam Hum Kaliyan Nahi Kanton Ko Chuntey Hain
Chalo Is Shaam Jashn-E-Tergi Hans Ker Manain Hum
Chalo Is Shaam Us Ko Phir Sirey Sey Bhool Jyen Hum