main yeh nahi kehta
key koi dil main na samaye
main yeh nahi kehta
key koi Aarzoo na ban paye
par.......! itna zaroor kehna hai
agar samajh sako
key dil main kabhi kisi ko
itni jagha na do
key dil key liye dharakna hi
mushkil ho jaye
Agar Kabhi Kitaab Likho
Chahato’n K Naam Likhna
Rafaqato’n K Naam Likhna
Tumhari Mujs Se Dosti Ki
Wo Pehli Pehli Baat Likhna
Payam Likhna Wo Dosti K
Qabuliyat K Muqaam Likhna
Wo Hijr Ki Raato’n Ki Baat Likhna
Wo Vasl Din Ki Mulaqat Likhna
Ikhtitam-e-Kitaab Aaye Tou Soch Lena
Yaad Kerna
Aur
Apna Mera Naam Likhna . . .
Aaj phir us bewafa se pyar kyo hai......!
woh wapas aayegi yeh aitbaar kyo hai.....!
Bhoolna to chahte the dilse usey.....!
Phir bhi woh meri yaadon ki haqdaar kyo hai........!
Kya pata tha vo bhi itna pyar karke dil tod jaayega
itna pyar dil mein bhar ke muh mod jaayega
ae bewafa tu jis se bhi dil lagaayega dekhna
vo bhi aise hi tera dil tod jaayega
Woh Kuch Sunta To Mein Kehta
Mujhay Kuch Aor Kehna Tha
Woh Do Pal Ko Jo Ruk Jata
Mujhay Kuch Aor Kehna Tha
Ghalat Fehmi Nay Baton Ko
Barha Dala Younhi Warna
Kaha Kuch Tha Woh Kuch Samjha
Mujhay Kuch Aor Kehna Tha