janay kis liay pal main,
log bhool jatay hain!!
zindagi ki yadoon ko,
bay shumar wadoon ko,
khushguwaar batoon ko,
sath guzri shamoon ko,
an ginat iradoon ko,
Janay kis tarah pal main
log bhool jatay hain!!
pyar ki haqeeqat ko,
umar bhar ki chahat ko,
rishtoon ki nazakat ko,
jazaboon ki sadaat ko,
lams ki hararat ko,
dil sye dil ki rahat ko,
KAISAY BHOOL JATAY HAIN?
KAISAY BHOOL JATAY HAIN??
Ishq Ko Bohat Badnaam Likha
Waqt Ko Humne Ghulam Likha
Rait Pe Tera Naam LikH Ker
Apni Mohabbat Ka Anjam Likha
Neno Mein AIk Deep Jala Ker
Isko Chirag-E-Benaam Likha
Iss Nazam Ka Mein ne APni
Unwan Gham Ki Sham Likha
Sham ne lipat kar pyar ka izhar kiya,
Chandani ne bikharkar Yaar ka satkar kiya.
Main khada bas dekhta raha Roop ki jalti agan,
Dil lagi ne Dilkashi se waqt ko guljar kiya.
achi soorat k sanwarnay ki zarorat kya hay
sadgee ma b qiamat ki ada hoti hay
tum jo atay ho masjid may ada karnay nimaz
tum ko maloom hay kitni ki qaza hoti hay
Uski Yaadon Main Us ki Baaton Main
Kahi''n mera Aks Bhi jhilmilata Ho ga
Laakh Masroof Sahi Apne Kaamo''n Main
Phir bhi Humain Soch Ker Kabhi to Muskurata hoga
Marne par hume jannat mile na mile,
Ye hawa ye fiza mile na mile,
Sms karne mein abhi to kasar mat kar aye dost,
Kya pata narak mein network mile na mile.