Us ki Chahat ka Sila Yaad nahi,
Yaad ha Jurm, Saza Yaad nahi
Toor kar hamsafari ka Rishta,
Wo kahan Choor Gae Yaad nahi,
Apnay girnay ka Sabab Yaad to hay,
Kiss Bilandi se gira Yaad nahi,
Yaad ha us ka Bicharna hum ko,
Phir Hamen jo bhi Mila Yaad nahi.
is raat ki tanhaiyo k
sb rang badal gye hain,
chand nikla hai waise hi
andhere badal gye hain,
jin k bharosey thi khushiyan
vo loog badal gye hain,
manzelein tu ab bhi vohi hai
kuch rasety badal gye hain,
jis pey kya tha bharosa hum ne
vo dost bichar gya hai,
dekhey thay jo kbhi hum ne
vo khwab badal gye hain,
jo baney thay kabhi humsafar
aj wo he mukar gye hain,
is totey hoye dil k sarey
jazbat badl gye hain,
na badley kabhi HUm
na badley kabhi humhare khyalat
BUS
rona hai yahi
KUCH LOOG BADAL GYE HAIn
Ab kisi se koi gila hi nahi
Jis ko Chaha tha woh mila hi nahi
Yeh to sab khel hai Naseebo ka
Apni Qismat main woh likha hi nahi
Woh jo ek shaks hum ko Pyaara tha
Aisa bichrra ke phir mila hi nahi
Jaa chuka hai woh door yun hum se
Ab milne ka koi aasra hi nahi
sonu .. aissa nahe kertay
suno ! jis dil main raihtay hon
ussay tora nahe kertay
bina jis kai na jee payin
ussay chora nahe kertay
suno ! kuch dair rok jao
koi tadbeer ker lain gay
ju saray khowab daikhan hain
unhain tabeer ker laingay
ju hathon main lakeerain hain
unhain takdeer ker lain gay
sonu ! kuch dair rok jao
khodara yon tu mat jao
bina tairay yai jeewan hum
kaho kaisay beetayin gay
sonu ! tum yad aa a tu
bohat khod ko rolayin gay
suno ! jub dard hoga tu tarap ker mar he jayingay
sunoooo ! kuch dair rok jao
sunoo kuch dair rok jao ..
Tum bhi suno Tum shayed samajhti ho Keh
tumharay lafz main siraf parhta hoon
Tumhari awaz siraf sunta hoon
Tumharay naqoosh siraf dekhta hoon Aour tumhara
wajood siraf choota hoon Ghalat bilkul ghalat
Tumhain kia patta Keh tumharay lafzon ki cheekh .
Tumhari aawaz ka karb.
Tumharay naqoosh ki pukaar Aour.
tumharay lums ki rooh Meri zaat ki mawaraai tehon
ki Kitni gehri parton main utar ke Tumhian meray
andar kiss kiss tarah
Amar kar detay hain....