Urdu Poetry SMS Messages5292 messages

Barisho k mosam mein
UNko yad karney ki aadtain purani hain

Ab k bar socha tha adtein badal dein ghy

phir kheyal aaya k adtein badlney se barishein nai rukti.
Bari MushkAl sE sulaya hAy khud ko mAin ne,



Apni Ankhon ko TerE khawab ka Lalach dAy kr.
Nadiyon se Kinare Toot Sakte hain,

Aasmaan se Taare Toot Sakte hain.

Magar Iss Baat ki kabhi Umeed Mat Karna

ki Hum Doston ko Yaad Karna Bhool Sakte hain
Ye mausam b kitna pyara hai,

karti ye hawae kuch ishara hai.

Zara samjho in k jazbato ko,

Ye keh rahi hai kisi Dost ne

DIL SE apko pukara hai.
Mitti ka jism leke pani ke ghar me hu,

Manzil hai maut meri har pal safar me hu.

Hona hai qatl ye malum hai mujhe,

Lekin khabar nahi kis-kis ki nazar me hu.
majburiya hamari wo jaan na sake
farmano ko hamare wo maan na sake
kehte he wo hame mar kar bhi chahenge
jite ji hame jo pehchan na sake
nahi he shikayat tujhse ki dukh diya tune
hume hi shouq tha aankhe zara bhigone ka
bahut aziz thi aankhe meri jise kal tak
sabab bhi poochne na aaya mere rone ka
Phool se pehle khusboo ko to dekho,

karne se pehle kaam ko to dekho.

kisike roop mein diwana naa bano,

surat se pehle uske dil ko to dekho.
Kaise Batau Use,

Nahi Isme Koi Meri Khata,

Khel Hai Ye Sitaron Ka,

Ye Chand Tu Use Bata;

Bandish Hai Ye Fizao Ki,

Aa Maangle Khuda se Ek Umar Duao ki
Kabhi nazren milane me zamane beet jate hain,
Kabhi nazren churane me zamane beet jate hain

Kisi ne ankh b kholi to sonay ki nagri me,
Kisi ko ghar banane me zamane beet jate hain

Kabhi kaali siyah raaten hamen ek pal ki lagti hain
Kabhi ek pal bitane me zamane beet jate hain

Kabhi khola jo darwaza to khari thi samne manzil
Kabhi manzil ko paane me zamane beet jate hain.../
Tanhayian jaane lagi zindagi muskurane lagi,
Naa din ka pata hai naa raat kaa pata.
Aap ki dosti ki khushboo hume mehkaane lagi,
Ek pal to karib aa jao dhadkan bhi awaaz lagane lagi..
Tu Paas Bhi Ho Tu Dil Beqaraar Apna Hai
K Ham Ko Tera Nahi Intezar Aapna Hai ,

Woh Dor Ho Tu Baja Terk -e- Dosti Ka Khiyal
Woh Saamnay Ho Tu Kab Ikhtiyaar Apna Hai

Zamanay Bher K Dukhon Ko Laga Liya Dil Se
Is Aasray Pe K Aik Ghamgusaar Apna Hai

Milay Koi Bhi Tera Ziker Chair Daitay Hain
K Jaisay Saara Jahan Raazdaar Apna Hai..
Barsaat ki bheegi raaton mai pir koi suhaani yaad ayi ,
Kuch apne zamana yaad aaya kuch unki jawani yaad aayi,
Hum bhool chuke they jisne Hume duniya mai akela chor diya ,
Jab gaur kiya tau ek surat jaani pehchaani yaad aayi..