Zindagi SMS Messages861 messages

Shikwa Teri YaadOn Say Kuch Is Tarha Kia Hum Ne ,,
Hanstay Hanstay Dil kO Rula Diya hUm Ne ,,
Ek Lamha Diya Tu Ne Jeenay Ke Liye ,,
Aur Us Mai Zindagi kO Beeta Diya hUm Ne ,,
Ek Safay Pe Likhi Teri Yaad Ki Dastaan ,,
Doosra Hissa Khaali Hi Jala Diya hUm Ne ,,
Kis Baat Ki Maa’zrat Chahatay Hain wO ,,
Jis Baat kO Sun’ntay Hi Bhoola Diya hUm Ne ,,
Wo Kyun Nahi Aatay Humaray Pass ,,
Jin Ki RahOn Mai PalOn kO bicha Diya hUm Ne ..
Main ne Kaha Tu to Apna tha Tu kyun Chor gaya

WO Bewafa Hans k B0LA Zindagi B To Apni h0ti hai
Wo kyun Chor Jati Hai..
Meri Zindagi ka sahara nahi hai,

Is jahaan me koi hamara nahi hai,

Chua unka daaman to wo haskar bole,

Dost ye daaman tumhara nahi hai.
Zindagi to apnay hi Qadmon pe chalti hai Faraz..,
Auron k $aharay to Janazay utha kartay hain.
Zindagi ki raahon pay bohat sy yaar milein ge,

Hum keya hum say b ache hzaar milein ge,

In achon me hmein na bhool jana,

Hm konsa tumhein hr bar milein ge
Insan jab paida hota hai to azan di jati hain namaz nai parhi jati aur jb marta hai to namaz parhi jati hai azan nai di jati yani Zindagi ka safar azan se namaz tak hai
Very True Lines…
Hamesha yaad Rakhain
K
Zindagi main hamesha 2 hi morr
aatay hain
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
SAJJAA
TAY
KHABBA….:-)
Har insaan ko shaadi zaroor kar leni chahiye...
.
.
.
Akhir khushi hi to Zindagi mein sab kuch nahin hoti
Ye Zindagi Badi Ajeeb Si,
Kabhi Gulzaar Kabhi Bezaar Si,
Kabhi Khushi Hamare Sath Sath,
Kabhi Gamon Ki Barsat Si,
Ye Zindagi Badi Ajeeb Si...
Kabhi Toofan Mein Bhi Hai Raaste,
Kabhi Manzilon Ka Pata Nahi,
Kabhi Do Kadam Pe Zindagi,
Kabhi Sadiyon Tak Intezaar Si,
Ye Zindagi Badi Ajeeb Si...

Kabhi Har Pal Imtihaan Hai,
Kabhi Bin Maange Inaam Hai,
Kabhi Kuch Nahi,
Kabhi Sab Kuch Si
Ye Zindagi Badi Ajeeb Si,
Kabhi Gulzaar Si Kabhi Bezaar Si...
ye kooche ye neelaam_ghar
dil_kashii ke
ye luTate hue kaarawaaN
Zindagii ke
kahaaN hai kahaaN hai
muhaafiz Khudii ke sanaa Khwaan-e-taqdii s-e- mashriq kahaaN hai ye pur_peNch galiyaaN ye
beKhwaab baazaar
ye gum_naam raahii ye sikkoN
kii jhankaar
ye ismat ke saude ye saudoN
pe takaraar sanaa Khwaan-e-taqdii s-e- mashriq kahaaN hai ta'ffun se pur_neem roshan ye
galiyaaN
ye masalii hu_ii adh khulii zard
kaliyaaN
ye bikatii hu_ii khokalii rang-
raliyaaN sanaa Khwaan-e-taqdii s-e- mashriq kahaaN hai zaraa mulk ke rahbaroN ko
bulaao
ye galiyaaN ye kooche ye
manzar dikhaao
sanaa Khwaan-e-taqdii s-e- mashriq ko laao
sanaa Khwaan-e-taqdii s-e- mashriq kahaaN hai
mout to bas apne nam se badnam ha
=Dost=
warna takleef to Zindagi ma bi ho ha
Zindagi bhar Zindagi ki saza milti rahi,
Lamha lamha wafaaon ki jaza milti rahi.
Cherh kar jata raha har baar zakhmon ko mere,
Gham ke sholon ko yun hi hawaa milti rahi.
Meri nazron ne hai bakhsha husn ko farogh,
Uske har aaza ko ik adaa milti rahi.
Faasla badta gaya jitna gaya uske qareeb,
Khushk patton ko jaise hawaa milti rahi.
Paththron ki gird takrata raha ''Rahat'' ka wajood,
Sukhan goi ka sadaa nayee sadaa milti rahi.