Zindagi to apnay hi

Zindagi to apnay hi
Zindagi to apnay hi Qadmon pe chalti hai Faraz..,
Auron k $aharay to Janazay utha kartay hain.
  

Dec, 24 2013     95 chars (1 sms)     3405 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Hijar ki aag main sulgo to bura lgta ha

Tm mre dedar ko tarso to bura lgta hy.

Ak tamana hy faqt muj pe mehrban rho

Tm kisi aur ko dekho to bura lgta hy.

Meri roh tarasti hy teri kushbo ko

Tm kahin aur jo mehko to bura lgta hy.

Arzu hay k tere roop ko har pal dekhon

Tm mere pas say utho to bura lgta ha
Sochtey rehnay ki aadat hogayi
chaunktey rehnay ki aadat hogayi

hijr ki raatoun k sung aankhoun ko bhi
jaagtey rehnay ki aadat hogayi

jaaney kia dur hayk apnay aap say
bhaagtey rehnay ki aadat hogayi

woh nahin lautey gaa phir kiyoon rehguzaar
daikhtey rehnay ki aadat hogayi

woh meray andar chupa hay or usay
boltey rehnay ki aadat hogayi~!
Behis hain ya log wafa soch k karna.
Hum jaise wafa darun ko khafa soch k karna.
Gul shakh se bichre to kahin ka nai rahta.
Tum zaat meri khud se juda soch k karna.
Hum majboor sahi par tujhe se kbi daga baz na hun ge.
Jb bi karo hum se gila soch k karna.
Ik bar jo rothe to mana tum tum na sako ge.
Be loss faqerun se jafa soch k karna.
kar kar k MinTain uski



Adat Bigaar di


DanistA hum ne us ko


sitamGar Bana Dia.

Mujhe Tou Hosh Nahi Tumko Khabbar Ho Shayad. . .
Log Kehte Hyn K Tum Ne Mujhe Barbaad Kia
Mujhse Bhi Kehta Tha Wo....

Kay ISHQ Nahi Hota Kisi Say !!!

MOHABBAT Nahi Hoti Kisi Say !!!

Magar Maine Bhi Kaha Kay

Mujhe ISHQ Hai,

Sirf Aur Sirf TUJHI Say...
nadan hai kitna wo,kuch samjhta hi nahi,

seene se laga k pouchta hai,k dharkan taiz kyun hai....
hona tu wohi hai jo muqaddar me likha hai,

lekin woh mere khuwab,mere khuwab,mere khuwab.
Arzoo-e-Dil ne hamay diwana bana diya.

Roay na thay hum kabhi, Humain rolla diya.

Hum ne to har waqat yaad kiya aap ko lakin,

Aap ne yaad karte karte Zamana laga diya..
ye apnepan ka rishta bhi bada ajeeb hota hai
sab apna apna naseeb hota hai
rehte hai jo nigahon se dur hamari
wohi dil ke sab se kareeb hota hai
Kayi Zulm Bhare Raaz Chupaatin Hain Yeh Aankhein
Aiina Dekh Kar Khud Se Dar Jaatin Hain Yeh Aankhein

Shayd Suna Ho Inki Araaish Ka, Toote Sapnon Se Sanwarti Hain
Bheege Aansuon Se Khud Ko Sajaatin Hain Yeh Aankhein

Yun Kahin Dikh Na Jaaye Kitna Dard Basaa Hai Inmein
Har Ek Se Nazrein Churaatin Hain Yeh Aankhein

Yeh Tamanna Rehti Hai Dil Mein K Woh Laut Aayenge
Rasta Tak Tak Kar Khud Ko Behlaatin Hain Yeh Aankhein

Badnaam Ho Gayin Yeh Unki Dewaangi Mein Kho Kar, Par
Unki Khaatir Har Bughz Nigaah Seh Jaati Hain Yeh Aankhein

Woh Nahi Aaya, Khokar Usse Jaane Kaise Yeh Jee Leti Hain
Aakhir Bandh Kyon Nahin Ho Jaatin Warda Teri Yeh Aankhein
sirf ek bar apne honton se mujhe apna keh do

mohsin

phir mehfil me raqeebon ka tamasha dekho..