Zindagi SMS Messages861 messages

Tanha Zindagi mai chal rahi hon to kya howa
Ay dost
Janazy main hoga sara shaher dekh lay na
Lagta Hai Jese Tang Hai Tu Mere Wajood Sy,
Ay Zindagi, Tujh Ko Bhi Ijazzat Hai Chorr Ja Mujhy
Kainaat k sare rang, Rangon k sare Phool, Phoolon ki sari Khushboo Khushbu ki sare khushi. Khushi k har lamhe, or in lamhon se bharpoor, Zindagi ki Dua sirf Ap k Naam. GOOD M0RNING
Rishte or Raste ..Zindagi k do pehlo hein kbi kbi rishte nibhate nibhate raste kho jate hein.. or ..kbi kbi raston pe chalte chalte rishte ban jate Hen..!! ..Ksi ko rishte raas ajatay hein or ksi ko raste..! ..faraq bus etna hai ,rastoo kay dukh bardasth ho jatay hein rishto k nahi..! Gud Morning
Zindagi ustad se b ziyada sakht hoti he
ustad pahle sabaq deta he phir imtehan leta he
lekin Zindagi pahle imtehan leti he phr sabq deti he...............
by hazrat Ali

MOHABBAT!

jis ke bagher app ki Zindagi adhori hay.

jis ke bagher her rishta be mayeni hay.

MOHABBAT

jis ke bagher kainat ka her rung be rung hay.

jis ke bagher her ehsaas khali burtan ki terha.

MOHABBAT.

jis ke bagher insaan bemool.

MOHABBAT.

jo anmool bana deti hay her rishte her ehsaas ko.

her shey her rung ko.
Meri dunya main beshak andhera rahe
Tere lab pe hansi ka basera rahe
Phool khiltay rahen tere 4ron taraf
Tere har simt khushbu ka daaira rahe
Zindagi main teri shaam aaye nahi
Ek chamakta damakta saweera rahe
Tu mere sang ho ye zaroori nhi
Bas tu jahan b rahe sirf mera rahe.

hum wafa kay aadi hum har dum wafaa karin gey

Bun kar faqeer teri Zindagi ki dua karin gey
Mujhe apne barbad
Hone ka gum nahi,
Teri barbadi ka suna
Tu bohat roya.

Main ne Har pal har
Su tujhe Yad kia,
Jab Tujhe Apni Yad se
Gaafil paya tu bohat
Roya.

Ye Zindagi
Ye Ronaqein
Ye ranjishein,
Jab in Sab me Tujhe
Tanha paya Tu bohat
Roya.

Main ne apne Dil k har
Konay me sirf tujh
ko hi Bsaya,
Tere Dil me Basa jab
Koi Or dekha Tu bohat
Roya.

zafar! Jaanta tha k To
Es k Nasib me nahi
Hai.
Lekin phir B tujhe khuda
Se Baar baar maanga Tu
Bohat Roya.
03459191007
¤My Life"My Poetry¤
Har taraf har jagah beshumar aadmi
Phir bhi tanhaiyon ka shikaar aadmi
Subah se shaam tak bojh dhota hua
Apni hi laash ka khud mazaar aadmi
Har taraf bhaagte daudhte raaste
Har taraf aadmi ka shikaar aadmi
Roz jeeta hua roz marta hua
Har naye din naya intezar aadmi
Zindagi ka mukkaddar safar dar safar
Aakhri saans tak bekaraar aadmi
Ye t0 Dil tha Dewana k Tum par Aa Gya

Warna Hm Qeemti Pathron ko bhi uthaya nahi karte

Ye mana K Tum Haseen Ho magar ye Bhi sun lo

Hm Haseen logon se Dil laGya nahi karte

Jis se karte hain Pyar bus ek hi baar karte hain

Baar baar Hum bhi kisi ko sataya nahi karte

Tum tu Apne ho Tum se kya parda

Warna Hum Raaz-e-Dil kisi ko bataya nahi karte

Tum keh do tu Tumhare liye jaan bhi hazir

Warna Hum Zindagi dao per lagaya nahi kartey...!
Zindagi per aik kitab likhon ga
main us me wo saare hisaab likhon ga

hui barbad meri Zindagi kese?
Kese bikhre hen mere khawab likhon ga

khud ko kisi tili ka roop de kr
auron ka chehra gulab likhon ga

kisi ko llzam-e-bewafa na donga
bas apni hi qismat kharab likho ga