zinda SMS Messages1014 messages

Meri Rooh Meri zindagi Tere Naam
Meri Har Ik Saans Tere Naam
Gar Tu Nahin To Kuch Nahin
Mere Din Meri Shaam Tere Naam
Eik "Diya" Hai Jala Tere Naam Ka
Chahe To Aa Ker Is Ko "Roshni" De
Chahe To Is Ko Bujha De
Is Ki zindagi Hai Tere Naam
Raaton mein aagar na ashk bahaun tou kya karoon,
Ik pal bhi us ko bhool na paun tou kya karoon,
Maine suna hai un ko andhare nahin pasand,
Raahon mein ab main dil na jalaun tou kya karoon,
Tum hee kaho chhod day jab zindagi bhi saath,
Phir maut ko gale na lagaun tou kya karoon,
Socha thaa kee chhod doon un ki gali,
Lekin kahin qaraar na paun tou kya karoon,
Na koi manzil hai na kinara hai koi,

Tanhai hai mehfil or yadein hai sahara

Us se bichad kar kuch yun waqt guzara,

kabhi zindagi ko tarse

kabhi maut ko pukara.
Haath Ki Lakeero''n Main

Kia Talash Kerte Ho ?

In Fazool Baato''n Main

Kis Liye Ulajhte Ho ?

Jis Ko Milna Hota Hy

zindagi K Rasto''n Par

Saath Saath Chalta Hy

Phir Kahan Bicherta Hy

Jo Nahi Muqaddar Main

Kab Humain Wo Milta Hy ?

Kab Wo Saath Chalta Hy ?

Haath Ki Lakeero''n Main

Kia Talash Kerte Ho ? ? ?
Wo School K Din

Kuch Baatai’n Bhuuli Hui
Kuch Pal Beetey Huey

Har Ghalti Ka Ek Naya Bahana
Aur Phir Sab Ki Nazar Main Aana


Exam Ki Puuri Raat Jaagna
Phir Bhi Sawal Dekh Ker Sar Khujana

Mauqa Miley Tou Class Bunk Maarna
Phir Dosto’n K Saath Mazey Maarna

Us Ki Ek Jhalak Dekhne Roz School Jana
Us Ko Dekhte Dekhte Attendance Bhuul Jana

Har Pal Hai Naya Sapna
Aaj Jo Tuutey Phir Bhi Hy Apna

Ye School K Din
In Lamho’n Main zindagi Jee Bhar K Jeena

Yaad Ker K In Palo’n Ko
Phir zindagi Bhar Muskurana
Kia Kaho''n Tujhe

Khwaab Kaho Tou Bikhar Jaye G a

Dil Kahoon To Tuut Jaye Ga

Aa Tera Naam zindagi Rakh Doon

Maut Se Pehle Tera Saath Na Chooth Paye Ga
zindagi mein tou nahi to yeh aarzu kis K liye
ye Mohabbat Nahi to Phir ye Justuju Kis K Liye
Mein Tujhe Dekha Keron Tu mujhe Dekha kery
Agar ye Nahi to Ru-bu-ru kis k liye
Dil-bari k tere chur-chy mein ne suny
Tu mera Dilbar nahi tou phir hai tou kis k liye
Her Ghazal mein n eperhi hai jaan-e-Jaa''n tere liye
Tu agar sunta nahi to phir ye guftugu kis k liye
Tanha Rehna Seekh raha hon Mer k jeena seekh raha hon
Maang k pana seekh lia hai Paa k khona seekh raha hon
Saber ko Zaad-e-Rah bana ker kanch pe chalna seekh raha hon
Jeeny k hain ajab taqazay zinda rehna seekh raha hon
Madhosi ne bohat sataya Hosh mein rehna seekh raha hon
zinda Hain Tu Kiya Hai Jo Mar Jain Hum Tu Kiya,

Dunya Se Khamoshi Se Guzar Jain Hum Tu Kiya,

Hasti He Apni Kiya Hai Zamane Ke Samne,

Ik Khuwab Hai Jahan Main Bikhar Jain Hum Tu Kiya,

Ab Kon Muntazar Hai Humare Liye Wahan,

Shaam Aagai Lout Ke Ghar Jain Hum Tu Kiya,

DiL Ki Khalish To Sath Rahe Ghi Tamam Umar,

Darya-e-Gham Ke Paar Utar Jain Hum Tu Kiya . . . (+_+)
Pakad Ke Jugnoo Roshni Ke Liye,

Dill Tarastaa Hai Ab zindagee Ke Liye..
"Pyaar zindagi Ki Tarah Hota Hai,
Jiska Her Morr Aasan Nahi Hota,
Her Raste Per Khushi Nahi Milti,
Per Jab Hum zindagi Ka Saath Nahin Chorte,
To Hum Pyaar Karna Kyon Chorein...
Tere Siwa KHUDA Ne Bohat Kuch aata Kia
Tujhko Na-Jane Kis Liye Mujhse Juda Kia
Wo zindagi Jo Phool Se Zada Haseen Thi
Teri Talab Mein Humne Usey Bhi Khafa Kia