mein sahil pe likhi hui ebaarat nahein
jo lehroon sey mit jaati hai
mein baarish ki baarasti boond nahein
jo baras kar tham jati hai
mein khuaab nahein
jisey dekhaa aur bhula diya jaye
mein shama nahein
jisey phoonka aur bhuja diya jaye
mein ha
wa ka jhonka nahein
jo aya aur guzar gaya
mein chaand bhi nahein
jo raat k baad dhal jaata hai
mein to
woh ehsaas hoon jo
tujh mein lahoo bun kar gardish karay
mein to
woh rang hoon jo
teray dil par
chahray aur kabhi naa utray
mein to
woh par
wana hoon jo
jalta rahay aur fana naa hoga
khuaab, ibaaarat, ha
wak ki tarhaan
chaand, boond, shama ki tarhaan
meray mitnay ka sa
waal hi nahein
KIYON K MEIN TO MOHABBAT HOON
AUR MOHABBAT KO KOI ZA
wAAL NAhi