tabeer SMS Messages21 messages

suno logon
meri aankhain kharido gey??
mujhey ek khuwab ka tawaan bharna hai
ek esa khuwab tha jo jaagti aankhon ne dekha tha
magar dekhey huwey us khuwab ki tabeer ulti thi
nahi shikwa kisi se,apni he taqdeer ulti hai
jo ab tak ho chuka hai mujhko wo nuqsan bharna hai
ab aankhain bech ker he,
khuwab ka tawaan bharna hai
SUNO LOGON
meri aankhain kharido gey??
Us k hath ki kash me wo lakeer ban jaon
Kash me uska muqadar uski taqdeer ban jaon
Me usey itna chahon k wo bhool jaye hr rishta
Sirf me hi us k hr rishte ki tasvir ban jaon
Wo aankhen band kare to aaon me hi nazar
Is tarha me us k hr khawab ki tabeer ban jaon…
Aae Umr-E-Rawaan Aahsta Chal
Abhi Khasa Karz Chukana Hae,

Kuch Khuwaab Hain Jin Ko Likhna Hae,
Aur tabeer Ki Surat Deni Hae,

Kuch Log Hain Ujrey Dil Waley,
Jinhain Apni Muhabbat Deni Hai,

Kuch Phool Hae Jin Ko Chunna Hae Aur Haar Ki Surat Deni Hae,

Kuch Apni Neendain Baaqi Hain,
Jinhain Bantna Hai Kuch Logo Mae,:Aur Un Ko Rahat Deni Hae,

:Aae Umr-E-Rawan Aahista Chal,

Abhi Khaasa Karz Chukana Hae....!!!!
0300
(Mein Tmhain Bachpan Se Chahta Hun)

0301
(Tum Se Shaadi Krna Meri Majboori Thi):-(

0333
(Tum Mere Ghar Walo Ki Pasand Ho)
Ooops
0334
(I Promis U Mai Tmhari Ankhon Mein Kbi Aanso Ane Nahi Dunga)

0345
(I Realy Love U)

0346
(You R My 2nd Wife)

0322
(Tum Dunia Kee Sb Se Khubsurat Larki Ho)

0321
(I Dont Love U)

0314
(Tum Mere Khuwabo Ki tabeer Ho)

0313
(Pata Nhi Meri Maa Ko Tum Ma Kya Nazar Aaya)
Dost Ban Kar Bhi Nahin Saath Nibhaane Wala
Wohi Andaz Hai Zaalim Ka Zamaane Wala
Hum Ne Dekha Hai Gulistaan Ko Jalte Hue
Hai Koi Khuwaab Ki tabeer Bataane Wala.
Aankhon Ko Koi Khwaab Tou Dikhayi De

tabeer Me ''''Imam'''' Ka Jalwa Dikhayi De

Aye ! ''''Ibn-e-Murtuza'''' Tere Saamne

Suraj Bhi Ek Chota Sa ''''Zarra'''' Dikhayi De
Pa ayeena ke khpal tasweer ogora..
Pa khpal tandi zama taqdeer ogora..
Da khpalo stargo da duniya kitab ke..
Mala zama da khob tabeer ogora..
Da zamany da peghorono na yam..
Mala pa khpal zan ky zameer ogora..
Nan pa menath derna yao swal kawoma..
Mala zama da yar tasveer ogora..
PHOOLON Ki Wadi Me
CHAAND Ki Chandni Me
RAAT k Saye Me
AAP Is Trha SOYE''N
k
Aapki AANKHON Me
Jo b KHWAB Aaye
Apki AANKH Khulny
Sy Pehly
Wo tabeer Hojae
Gud Nite
subah k ujaloon mein dhoondta hai tabeerein?

dil ko kon samjha''aye khowab,khowab hoty hain...!
khuwab k phoolo ki tabeere kahani ho gayen khoon thanda pr gya ankhen purani ho gayen Jis ka chehra tha chamkte mousamo ki AArzoo uski tasweren bhi aur aankhe khizani ho gayen dil bhr aaya kagaz khali ki surat dekh kar Jinko likhna tha wo sub batain zubani ho gayen Jo muqadar tha usay to rokna bus me na tha unka kya karte Jo batain na gahani ho gayen Reh gya dil me rang yaad e raftagan phool mehnge ho gaye qabrain purani ho gayen . . .
sonu .. aissa nahe kertay
suno ! jis dil main raihtay hon
ussay tora nahe kertay
bina jis kai na jee payin
ussay chora nahe kertay
suno ! kuch dair rok jao
koi tadbeer ker lain gay
ju saray khowab daikhan hain
unhain tabeer ker laingay
ju hathon main lakeerain hain
unhain takdeer ker lain gay
sonu ! kuch dair rok jao
khodara yon tu mat jao
bina tairay yai jeewan hum
kaho kaisay beetayin gay
sonu ! tum yad aa a tu
bohat khod ko rolayin gay
suno ! jub dard hoga tu tarap ker mar he jayingay
sunoooo ! kuch dair rok jao
sunoo kuch dair rok jao ..
Kaho
woh dasht kaisa tha
jidher sab kuch luta ayee
jidher ankhain ganwa ayee

kaha
sailab jaisa tha
buhat chaha k bach niklain
mgar sab kuch baha aye

kaho
woh vasal kaisa tha
tumhain jab cho lia us nay
toh kia ehsas jaga tha

kaha
us rastay jaisay
jidher say bus guzrana tha
Makan lakin bana aye

kaho
woh chand kaisa tha
falak say jo utar aya
tumhari ankh main basnay

kaha
woh khuwab jaisa tha
nahin tabeer thee us ki
usay aik shab sula aaye