Buhat hi Muddat kai baad kul jub
kitaab-e-maazi ko main nai khola
buhat sai chehrey nazar main utray
buhat sai naamoan pai dil paseeja
ik aisa safa bhi usmain aaya
likha hoa tu jo aansoan sai
kai jis ka unwaan HUMSAFAR tha
jo safa sub sai hi moatabar tha
kuch aur aansu phir us per tupkai
phir us sai aagay main phar na paaya
kitaab-e-maazi ko bund karkai
tumhari yaadoan main kho giya main
Agar Tu Milta Tu kaisa Hota
Inhi Khyaloan main
so gya…