piyaas SMS Messages9 messages

Kiya hay pyar jisy hum nay zindagi ki tarha..

Wo aashna bhi milla hum say ajnabi ki tarha..

Barha k piyaas meri us nay hath choor diya..

Wo kar raha murawat bhi dil lagi ki tarha..

Sitam to ye hay k wo bhi ban saka apna..

Qabool hum nay kiye jiss k gham khushi ki tarha..

Kisy Khabar thi barhy gi kuch aur tareeki..

Chupy ga wo kisi badli mien chandni ki tarha.....
Ranj-o-alam..
Dard-o-gham…
Hasrat-o-yaas…
Mun ki piyaas……..
WahshataiN…..tanhaii.yaN
AansuoN ka bahr-e-bekaraN
Bekali-o-bebasi….
Dard-e-dil aur bekasi……
Kitni soghataiN dai gia…..
Mujh ko wo meraa faisla
jaatay jaatay wo mujhe achi nishani day gaya
umr bhar dohraaoongi,aysi kahaani day gaya

us say may kuch paa saku?aysi kahan umeed thi
gham bhi wo shayad baraay-e-meherbaani day gaya

sab hawaayen lay gaya mere samandar ki koi
aur mujh ko aik kashti baadbaani day gaya

khayr main piyaasi rahi par us nay itna to kia
meri palko ki qataaron ko wo paani day gaya...
KhuD piyaas Ka SehRa Hon MaGaR DiL Ki Ye ZiD HaI.!

HaR DashT PaR Sawan Ki TaRha TooT Kar Barsoon~~
Baghair us k udaas hoon main
Badalti rut ka kiyaas hoon main
Bujha de apni muhabbatoon se
Sulagti sadion ki piyaas hoon main
Kahani dard ki main zindagi se kya kehta

Ye dard us ne diya hai usi se kya kehta

Gila to mujh ko bhi karna tha piyaas ka lekin

Jo khud hi sookh gayi us nadi se kya kehta

Mere aziz hi mujh ko samajh na paye kabhi

Me apna haal kisi ajnabi se kya kehta

Andheri raat ne mujh ko bohat sataya hai

Bhala ye baat mein ab roshni se kya kehta.

Tamaam shehar mein jhoot ka raaj tha''WASi''

Mein apne gham ki haqeeqat kisi se kya kehta....
main main na rahoon tum tum na raho
ek duje mein khoo jain ek jaan ho jain
chalo aao aaj ki sham ko kuch es tara sajain
ke seher tak donon madhoosh ho jain
lepat ke ek duje ki bahoon se raat bhar
barsoon ki tashnagi seher tak mitaain
dori rahe na darmiyan etne qareeb aao
tum hum mein sama jao hum tum mein sama jain
es haseen sham ko aaj yun na dhalne deain
sulagne deain saansoun ko jismon ko phigalain
bujhane se bhi nhi bujhti yeh piyaas muhabbat ki
ab tarse howe hontoon ko hontoon se milne deain
barsoon ki tashnagi ko kese bujhain MAHEK
chalo aao phir se ek haseen sham sajain

MAHEK
Phool Khil Kar Udaas Hai

Samandar Ko Aaj Pani Ki piyaas Hai

Ek Baar AAP Muskura Do

QK,

HAM Ko Dunya Ki

Sab Se



"KHOFNAAK"
MUSKURAHAT
Ki Talaash Hai.


piyaas aisi ke pee jaon samunder saaray...
Naseeb aisa ke Muyassar zeher bhi nahi...

Wafaain koi humse seekhay "Faraz"
"Jisse" toot ke chaha "Usse" khabar bhi nahi..!