pass SMS Messages424 messages

Najane Kion Dil Laga Lete Hain Laug
Khud Ko Yuun Hi Saza Dete Hain Laug
Jab Koi pass Ho To Kadar Nahin Karte
Door Koi Chala Jaey To Sada Dete Hain Laug
Jab Mil Jaey Safar Main Naya Hum-Safar Koi
Per Kion Purani Rafaqat Ko Bhula Dete Hain Laug
Gham Bhi Dete Hain Or Kehte Hain Bhool Jao
Hamari Chahat Ka Ye Sila Dete Hain Laog
Youn toh guzar raha hai har aik pal khushi k saath
phir bhi koi kami si hai kiun zindagi k saath


rishtey,wafaein dosti sab kuch toh pass hai
kiya baat hai pata nahi dil kiun udaas hai

har lamha hai haseen naye dilkashi k saath
phir bhi koi kami si hai kiun zindagi k saath

chahat bhi hai sakoon bhi hai dilbar bhi hai
aankhon mai khuwab bhi hai labon pai hasi bhi hai

dil ko nahi hai koi shikayet kisi k saath
phir bhi koi kami si hai kiun zindagi k saath

socha tha jaisa waisa hi jevan toh hai magar
ab aur kis talash mai bey chein hai nazar

qudrat ki toh meharbani hai darya-dili k saath
phir bhi koi kami si hai kiun zindagi k saath
Na main pass us ko bola saka.
Na main dil ki baat bata saka.
Wo hansi hansi main hi chal dia.
Main hath tak na hila saka.
Kahan jao gay mujay choor kar.
Main yah poch poch kar thak gaya.
Wo jawab muj ko na dai saka.
Wo tou khud sarapa sawal tha.
Wo mila tou sadion k baad b.
Meray lab pay koi gila na tha.
Usay meri chup nay rola dia.
Jisay guftago main kamal tha..
Mai Ne Poocha Kaise Ho
Badley Ho Ya Waise Ho
Roop Wohi Andaz Wohi
Ya Phir Is Mein Hoi Kami
Hijr Ka Kuch Ehsas To Ho Ga
Koi Tumhare pass To Ho Ga
Mai Bichra ye Majboori Thi
Kab Manzoor Mujhe Doori Thi
Saath Hamara Kab Choota Hai
Rooh Ka Rishta Kab Toota Hai
Aankh Se Jo Aansu Behte Hain
Tum Ko Khabar Hai Kya Kehte Hain?
Mai Ne Kaha Awaz Tumhari
Aaj Bhi Hai Hamraz Hamari
Phool Wafa K Khil Jayen Ge
Ik Din Hum Phir Mil Jayen Ge
A SIMPLE AND A REAL FRIEND
A simple friend has never seen you cry.
A real friend has shoulders soggy from your tears.
A simple friend thinks the friendship is
over when you have an argument.
A real friend knows that it''s not a friendship
until after you''ve had a fight.
A simple friend hates it when you call
after he has gone to bed.
A real friend asks you why you took so long to call.
A simple friend expects you to always be there for them.
A real friend expects to always be there for you!
pass this on to anyone you care about....
if you get it back you have found real friends!
ArZo0 HaY TumHAin Do0R Se DekHNay KI,
MAgEr pass NaHi AaNa ChAhTa,
TaMaNnA NaHi tuMHain PANAy ki,
MAgeR KhoNA BhI NAHi CHAhTa...
na kar inkaar a zalim mere pass ane se ..
khuda bhi roth jata hay kisi ka dil dukhane se
Us K Hathon Main Hina,Paon Main Payal Hogi.Aik Dewar Magar Beach Main Hayal Hogi.Us K Jalwoon K Bohat pass Main Honga.Lakin Wo Kisi Or Ki Taqdeer Ka Hasil Hogi.Surkh Kaproon Say Sajay Tar Na Mery Hongy.Us Ki Aankhoon Main Mery Pyar Ki Jhilmil Hogi.Jaty Jaty Wo Mujy Pyar Say Dakhy Gi Jab.Roty Roty Wo Meri RohMain Shamil Ho Gi.Mujy Say Wo Dor Bohat Dor Chali Jayee Gi.Ya Kaahani Bhi Sara-e-Bazam Mukamil Hogi.
Taraash ke mere baazoo uraan chorh gaya
Hawa ke pass burahna kaman chorh gaya

Rafaqaton ka meri usko dhyan kitna tha
Zameen leli mager aasman chorh gaya

Ajeeb shakhs tha barish ka rung dekh ke bhi
Khule dareeche pe ik phool daan chorh gaya

Jo baadlon se bhi mujhko chupaye rakhta tha
Barhi hai dhoop tou be-sayeban chorh gaya

Nikal gaya kahien andekhe panion ki taraf
Zameen ke naam khula baadban chorh gaya

Uqaab ko thi garz faakhta pakarne se
Jo girr gayi tou yunhi neem jaan chorh gaya

Najane konsa aaseb dil mein basta hai
Ke jo bhi thehra woh makan chorh gaya

Aqab mein gehra samnder rahe saamne jungle
Kiss inteha pe mera meherban chorh gaya--
Hum Akele The Akele Hi Reh Jaate Hai,
Dil Ka Dard Kisse Dikhaaye,

Marham Lagane Wale Hi Zakhm De Jaate Hai,
Waqt To Humey Bhula Chuka Hai,

Muqaddar Bhi Na Bhula De,
Dosti Dil Se hum Isiliye Nahin Karte,

Kyunke Darte Hai,Koi Phir Se Na Rula De,
Zindagi May Hamesha Naye Log Milenge,

Kahin Ziyada To Kahin Kam Milenge,
Aitbaar Zara Soch Kar Karna,

Mumkin Nahi Har Jagah Tumhe Hum Milenge.
Khushbo Ki Tarah Aapke Paas Bikhar Jayenge,
Sukon Ban kar Dil Me Utar Jayenge,

Mehsoos Karne Ki Koshish To Kijiye,
Door Hote Hoye Bhi pass Nazer Aayenge
Wo Sath Tha To Zamana Tha HumSafar Mera
Magar Ab Koi Nhi Mere Sath Ussay Kah Na

Ussay Kah Na K Bin Usske Din Nhi Katta
Sisik Sisik K Katti Hai Raat Ussay Kah Na

Ussay Pukaraoun K Khud Hi Poanch Jaoun Uske pass
Nhi Rahe Wo Halat Ussay Kah Na

Her Jeet Uske Naam Kar Raha Hon "SaaMer"
Main Manta Hon Apni HAAR Ussay Kah Na
kya toota kya bikhar gaya ye mein janta hoon
andhiyoon mein chiraag jalaney ki saza mein janta hoon

janey wo kon log the jin ko mila sila mohabtoon ka
zakham_e_mohabat ki tarap ka maza mein janta hoon

door se dekho iss ko pass jaogey toh pachtaogey
zindagi ke chehrey pe hai kya likha mein janta hoon

un ke koochey se uthey jo mera janaza toh kya baat hai
un ki bahoon mein marney ka maza mein janta hoon

kyun bewaja mujhe zindagi se milatey ho yaro
zindagi aur maut ke beech ka khala mein janta hoon

wo khafa se hein ye be janta hoon mein
un ki narazgi mein be hai ik ada mein janta hoon !!