muqadar SMS Messages47 messages

apne haatho se u chehre ko chupate q ho,
mujh se sharmate ho tou saamne atay q ho…

tum kabhi mere tarha kar bhi lo ikraar-e-wafa,
pyar karte ho tou phir pyar chupate q ho…

ashq aankho mei mere dekh k rote q ho,
dil bhar aata hai to phir dil ko dukhate q ho…

in se vaabasta hai jab mera muqadar phir tum,
mere shano se ye zulf hatatay q ho…

roz mar mar k mujhe jeenay ko kehte q ho,
milne aatay ho to phir laut k jatay q ho…

apne haatho se u chehre ko chupate q ho,
mujh se sharmate ho tou saamne atay q ho…
Us k hath ki kash me wo lakeer ban jaon
Kash me uska muqadar uski taqdeer ban jaon
Me usey itna chahon k wo bhool jaye hr rishta
Sirf me hi us k hr rishte ki tasvir ban jaon
Wo aankhen band kare to aaon me hi nazar
Is tarha me us k hr khawab ki tabeer ban jaon…
Nahin woh shakhs muqadar main phir bhi us sy millty hain "faraz"

bara pur'lutf lagta hai muqadar ko saza daina.
Rook Naa Jana Khoof Say Beech Rah Mein Khuda Ki Baargah Mein Gir Kar Ro Lenaa Khud Ko Girnay Na Dena Apni Nigah Mein ...Farishton Ko Kahan Hasil Toba Ki Lazat Khata Karnaa Hay Fitrat-E-Insaan Mein Khushiyan muqadar Say Milti Hein Yahaan Gham Miltay Nahi Baysabab Is Jahan Mein Khudsaakhtaa Ohaam Say Rakhnaa Mun Ko Khali Khudaa Miltaa Nahi Behs-O-Taqraar Mein Duniya Ki Mehfil Mein Yaad Rakhnaa Nayaab K Tanhai Rehnaa Hay Qaber K Makan Mein...........!!!
Sirf 2 log muqadar walay hotay hain
.
1-woh jinhay sacha pyar milta hai
.
"AUR"
.
2-wo jinka Tarbooz Laal nikalta ha
kuch khud b thay afsurda say,,
kuch tum b hum say rooth gaye,,
kuch khud hi zzakhm k aadi thay,,
kuch sheeshay hath say choot gaye,,
kuch khud b hassaas thay bohat,,
kuch apnay muqadar rooth gaye,,
kuch tum ko sach say nafrat thi,,,
kuch hum say na bolay jhoot gaye,,
kuch logon nay uskaya tumain,,
kuch apnay muqadar phoot gaye,,
kuch khud itnay mohtaat na thay,,
kuch log b hum ko loot gaye,,
kuch talkh hakaik thay itnay,
k khaab hi saray toot gaye.........
Chhoor kar sahil-e-hayat chala ab safina mera kahiein thahry
zahar peena mera muqadar hay aur tere hoont dil-nasheen thahry
kis tarah tere aastaan pe rukoon jab na paoon taly zameen thahry
Mein tera shahar chhoor jaoon ga...

Mujh ko itana zaroor kehna hay waqt-e-rukhsat salaam say pehly..
toor loon rishta-e-nazar mein bhi tu utar aye baam say pehly
ye meri jaan mera vaada hay kal kisi waqt sham say pehly..
Mein tera shahar chhoor jaoon ga.........
Wafa ruswa nahi karna
Suno aisa nahi karna
Main pehlay he akela hoon
Mujhe tanha nahi karna
bohat masroof ho jana
To socha nahi karna
Bhrosa bhi zaroori hai
Magar sab ka nahi karna
muqadar phir muqadar hai
Kabhi daawa nahi karna
Jo likha hai wo hona hai
Kabhi shikwa nahi karna
Meri takmeel tumse hai
Mujhay aadha nahi karna
Haqiqat ha Milan apna
Isay spna nahi karna
humein tum yaad rahtay ho
Humein bhoola nahi karna
Wafa ruswa nahe krna,
Suno aisa nahe krna,
Main pehlay he akela hon,
Mujhe tanha nahe krna,
Bohat massrrof ho jana,
Tou socha nahe krna,
Bharosa bi zaroori hy,
Magr sab ka nahe krna,
muqadar phir muqadar hy,
Kabi daawa nahe krna,
Jo likha hy wo hona hy,
Kabhi shikwa nahe krna,
Meri takmeel tm se hy,
Mujhe aadha nahe krna,
Haqiqat hy milan apna,
Isay sapna nahe krna,
Humain tm yaad rehty ho,
Humain bhoola nahe krna
Kabhi kabhi meray dil mein khayal ata hai
K zindagi teri zulfon ki narm chhaon mein
Guzarnay pati tu shadab ho bhi sakti thi
Yeh teragi jo meri zeest ka muqadar hai
Teri nazar ki shuaon mein kho bhi sakti thi
Ajab na tha k mein begana alm ho kar
Teray jamal ki ranaeon mein kho rehta
Tera gudaz badan teri neem baz ankhein
Inheen haseen fasanoon mein mehav ho rehta
Pukarteen mujhe jab talkhiyan zamanay ki
Teray labon say halawat k ghoont pee leta
Hayat cheekhati pherti barehna sir aur mein
Ghaneri zulfon k saya mein chhup k jee leta
Humesha muskura kay aansooun ko chupaya
Ghum ko chupanay ka yehi rasta nazar aaya

Kis kis ko batatey behtey ashkon ka sabab
Kay derd-e-dil dil main kis nay jagaya

Mehfilon main kahin bhi maza na raha
Rakha dil pay pather to khud ko sajaya

Baat bay baat apni aahain daba ker
Yaron kay dermiyan kis qadar muskuraya

Na thi chah kabhi mujahy mankashi ki
Jaam-e-wafa kisi bay wafa nay pilaya

Kya muqadar say shikwa kertey rahain
Jo qismat main tha wohi kuch to paaya

Yeh kis mor pay aagaee hain umeedain
Kay saaya-e-manzil nazar main na aaya

Apnoon nay palat kay daykha tak nahin
Ghairon nay aaker galay say lagaaya
Humesha muskura kay aansooun ko chupaya
Ghum ko chupanay ka yehi rasta nazar aaya

Kis kis ko batatey behtey ashkon ka sabab
Kay derd-e-dil dil main kis nay jagaya

Mehfilon main kahin bhi maza na raha
Rakha dil pay pather to khud ko sajaya

Baat bay baat apni aahain daba ker
Yaron kay dermiyan kis qadar muskuraya

Na thi chah kabhi mujahy mankashi ki
Jaam-e-wafa kisi bay wafa nay pilaya

Kya muqadar say shikwa kertey rahain
Jo qismat main tha wohi kuch to paaya

Yeh kis mor pay aagaee hain umeedain
Kay saaya-e-manzil nazar main na aaya

Apnoon nay palat kay daykha tak nahin
Ghairon nay aaker galay say lagaaya